Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

251. Muhtalim par ghusl kab waajib hota hai?

Muhtalim par ghusl kab waajib hota hai?

[Sawaal]

Ek shakhs ka yeh ‘aqeedah hai ke us ehtilaam se ghusl waajib hota hai, Jis mein aadmi sareehan ‘amal-e-mubaashirat dekhe aur mani bhi khaarij ho. Aur agar soye hue mani to khaarij ho lekin ‘amal-e-mubaashirat nazar na aae to woh ghusl nahi karta aur us par taqreeban aath saal ka ‘arsa guzar chuka hai, Woh poochta hai ke un saalon ki Namaz ka Kia hukm hai?

[Jawab]

Waazeh ho ke khurooj-e-mani se ghusl waajib ho jaata hai jab woh haalat-e-bedaari mein lazzat ke saath tapak kar khaarij ho aur khwaab mein mutlaqan khaarij ho, kyunke Imaam Ahmad ne Hazrat ‘Ali-Bin-Abi Talib رضي الله عنه ki riwaayat bayaan ki hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaaya:

إِذَا فَضَخْتَ الْمَاءَ فَاغْتَسِلْ وَإِنْ لَمْ تَكُنْ فَاضِحًا فَلَا تَغْتَسِل

(Sunan Abi Dawood, Kitaab Al-Tahaarat, Baab fi Al-Mazi, H: 206, -O-Sunan Al-Nisaai, Kitaab Al-Tahaarat, Baab Al-ghusl min Al-Mani, H: 193, -O-Masnad Ahmad, 109/1, -O-Al-Ghaleel 1/162)

“Jab paani uchal kar nikle to ghusl karo aur agar uchal kar na nikle to ghusl na karo.”

((Fazakh)) ke ma’ani paani ke uchal kar aur chalak kar khaarij hone ke hain.

Hazrat Umm-e-Salma رضي الله عنها se riwaayat hai ke Hazrat Umm-e-Saleem رضي الله عنها ne ‘arz kiya: “Ya Rasoolullah! Beshak Allah Ta’ala haqq baat se nahi sharmata’ Kia ehtilaam hone ki soorat mein ‘Aurat par bhi ghusl hai?”Aap (ﷺ) ne farmaaya:

نَعَمْ إِذَا رَأتِ الْمَاءَ

“Haan agar woh paani dekhe.”

(Sahih Bukhari, Kitaab Al-ghusl, Baab aza ahtalamat Al-Maraat, H: 282,-O-Sahih Muslim, Kitaab Al-Haiz, Baab Wajoob Al-ghusl ‘Ali Al-Maraat Bakharauj Al-Mani Minha, H: 313)

Wajoob-e-ghusl mubaashirat ke saath muqeed nahi hai balkeh yeh to khurooj-e-mani ke saath muqeed hai kyunke Nabi (ﷺ) ka Irshaad hai ke:

إِذَا فَضَخْتَ الْمَاءَ فَاغْتَسِلْ

(Sunan Abi Dawood, Kitaab Al-Tahaarat, Baab fi Al-Mazi, H: 206, -O-Sunan Al-Nisaai, Kitaab Al-Tahaarat, Baab Al-ghusl min Al-Mani, H: 193,-O-Masnad Ahmad, 1 109, 125 -O-Sandah sahih anzar Urwa Al-Ghaleel 1 162)

“Jab paani uchal kar nikle to ghusl kar lo.”

Haalat-e-bedaari mein mard aur ‘Aurat ke sirf khatna ke maqaamaat milne se ghusl waajib ho jaata hai khuwah inzaal ho ya na ho. Lehaaza us saail ko chaahiye ke jo ehtilaam ki soorat mein mani khaarij hone aur khawaab nazar na aane ki wajah se ghusl nahi karta raha Maqdoor bhar koshish kar ke un tamaam guzishta saalon ki Namaazon ko padhe. Wa Billahi Al-Toufeeq

__Fatwa-e-committee__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents