Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

254. Ek martaba Wuzu kar lo aur shaitaan ki pairwi na karo

Ek martaba Wuzu kar lo aur shaitaan ki pairwi na karo

[Sawaal]

Har daf’a wuz’u karne se pehle koshish karta hoon ke aala-e-tanaasul mein maujood tamaam peshaab nikaal doon. Us maqsad ke liye mein kayi daf’a bethta hoon Jis ghusl khaana mein Wuzu karta hoon wahan taang ko bhi upar tak uthaata hoon aur aksar do baar ya teen baar Wuzu karta hoon kyunke Wuzu mukammal karne ke ba’d ma’loom hota hai ke peshaab ke kuch qatre nikalne lage hain. Lekin aksar ma’loom hota hai ke yeh mehez wehm tha, Lekin kabhi us mein haqeeqat bhi hoti hai jis ki wajah se waswasa laahaq rehta hai. Lekin do ya teen baar Wuzu karne aur ghusl khaana mein ziyaada waqt sarf karne mein mushaqqat bhi bohat hai, To sawaal yeh hai ke mein Kia karoon khusoosan sardi ke mausam mein jab mein thanda paani iste’maal nahi kar sakta aur Wuzu ke liye garam paani iste’maal karta hoon?

[Jawab]

Bilaashak-o-shuba yeh aksar baatein auhaam aur waswase hain, Jinhein shaitaan ba’az logon ke dilon mein daalta hai taakeh unhein ‘ibaadat saqeel mehsoos ho aur woh us se ikta kar us se tark kar dein lehaaza hum naseehat karte hain ke un auhaam aur waswason ki taraf tawajjuh na do. Bas ek daf’a Wuzu kar lo aur baar baar Wuzu na karo, Peshaab ki jagah ziyaada der na betha karo. Peshaab ke baqiya hisson ko nikaalne ke liye apne aap ko mushaqqat mein na daalo kyunke yeh is tarah hai jis tarah than mein doodh ho ke agar doha jaae to utar aata hai aur agar chod diya jaae to chadh jaata hai, Haan agar yeh yaqeeni amar ho ke peshaab khaarij hoa hai to phir tumhein dobaraah Wuzu karna ho ga lekin us ke liye tafteesh-o-tehqeeqat aur haath laga kar dekhne ki zaroorat nahi hai. Agar peshaab inqet’a ke baghair hamesha khaarij hota rahe to yeh salsal al-bol hai. Us soorat mein tumhare liye hukm yeh hai ke Namaz ka waqt shur’u hone ke ba’d ek baar Wuzu kar lo aur Wuzu ke ba’d peshaab ke khaarij hone se tumhein koi nuqsaan na ho ga lekin tumhari soorat-e-haal ke baare mein yoon ma’loom hota hai ke yeh ziyaada tar wehm ki Karishma saazi hai, Jis ki koi haqeeqat nahi hai lehaaza us ki taraf koi iltifaat na kiya jaae ga. Allah Ta’ala shifa ‘ataa farmaae

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents