Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

257. Sharamgaah ka dhona Wuzu ka hissa nahi hai

Sharamgaah ka dhona Wuzu ka hissa nahi hai

[Sawaal]

Ek shakhs neend se bedaar hoa aur woh hadas-e-Akbar ya Asghar se do chaar nahi hai, Woh baahaalat-e-tahaarat soya tha, Neend se bedaar hoa to ‘aam mafhoom ke mutaabiq us ne Wuzu ki tajdeed kar li to Kia is haalat mein Wuzu kaamil ho ga ya naaqis?

[Jawab]

Haan is haalat mein Wuzu sahih ho ga aur us ke liye istanja Yaane sharamgaah ka dhona zaroori nahi ho ga balkeh us ke liye sirf a’za-e-zaahirah ka dhona laazim ho ga. Yaane ma’roof Wuzu karna ho ga. ‘Aam log jo iss se Tajdeed-e-Wuzu ka naam dete hain to yeh ghalat hai kyunke tajdeed to us shakhs ki hai jo Wuzu maujood hone ki soorat mein Wuzu kare aur yeh shakhs neend ki wajah se hadas-e-Asghar mein mubtala hai kyunke neend nawaaqiz-e-Wuzu mein se hai lekin is se istanja waajib nahi hota.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents