Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

259. tayammum se padhi hoi Namaazon ko dohraana

tayammum se padhi hoi Namaazon ko dohraana

[Sawaal]

Mein subah ke waqt haalat-e-janaabat mein tha lekin paani maujood na tha is liye main ne Namaazon ko tayammum se padh liya, Shaam ko jab paani mila to main ne ghusl-e-janaabat kar liya, To Kia mujhe woh Namaazein dohraani hongi jo main ne tayammum se padhi hain?

[Jawab]

Aap ne paani ki ‘adam maujoodgi ka sabab zikr nahi kiya. Agar aap kisi sehraai qasba ya kisi shehar mein sukoonat pazeer hain to un mein ‘aam taur par paani maujood hota hai, Agar ek jagah paani ki supply band ho to doosri jagah jaari hoti hai lehaaza jumbi aur Muhaddis (be Wuzu) ke liye zaroori hai ke woh paani talaash kare, Padosiyon se Water supply ke markaz se ya kunwon waghaira se paani talab kare lehaaza jis ne paani talaash kiye baghair tayammum se Namaz padh li us ke liye laazim hai ke woh us Namaz ko dohraye. Badiya ya Sehra mein basa auqaat paani dastiyaab nahi hota lehaaza qareeb-o-juwaar mein talaash karne ke baawajood agar paani na mile to tayammum jaaiz hai. Agar zaroorat se zaaid paani maujood ho ya ‘adam maujoodgi ki soorat mein qareeb jagah se milna mumkin ho to phir yamum jaaiz na ho ga. Wallahu A’lam.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents