262. Yaqeen par buniyaad rakhna Deen ka ek bohat bada usool hai
Yaqeen par buniyaad rakhna Deen ka ek bohat bada usool hai
[Sawaal]
Umeed hai aap is Hadees ki sharah farma dein ge jis mein yeh alfaaz hain ke:
لا يَنفَتِلُ أَوْ لا يَنْصَرِفُ حَتَّى يَسْمَعَ صَوْتًا أَوْ يَجِدَ رِيحًا
“Jab tak awaaz na sune ya badbu mehsoos na kare Namaz se na phire.”
(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Wuzu, Baab min lam yar Al-Wuzu illa min Al-Makhrajan min Al-qabl-o-AlDabar, H: 177, -O-Sahih Muslim, Kitaab Al-Haiz, Baab Al-Daleel ‘Ali an min qaiqan Al-Tahaarat sum shak . . . , H: 361)
[Jawab]
Yeh Hadees sahih hai aur shariy’at ke qawaaid mein se ek qaaida hai aur woh yeh ke yaqeen par buniyaad rakhi jaae, Shakook-o-auhaam ki taraf tawajjuh na di jaae. Insaan jab yaqeen ke saath tahaarat haasil kare to woh us waqt tak Tahir rehta hai jab tak us se hadas ka yaqeen na ho jaae, lehaaza un auhaam-o-shakook ki taraf tawajjuh na di jaae jo shaitaan insaan ke dil mein daalta hai taakeh insaan tashweesh mein mubtala ho kar ‘ibaadat se ikta jaae aur us se bohat giraan mehsoos karne lage, Is liye jab woh dauraan-e-Namaz pait mein koi giraani ya harkat waghaira mehsoos kare to us waqt tak Namaz ko na tode jab tak us se awaaz sunne ya hawa ke khaarij hone se tahaarat ke khatam ho jaane ka yaqeen na ho jaae.
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…