275. Paani ki maujoodgi mein tayammum baatil hai
Paani ki maujoodgi mein tayammum baatil hai
[Sawaal]
Ek din mujhe ehtilaam ho gaya aur us din sakht sardi thi, Main ne tayammum kar ke Namaz padh li aur Madarsa chala gaya Phir mein wapas lauta to main ne ghusl na kiya, Is baare mein rehnumaai farmaaiye Kia hukm hai? (Jazakum Allahu Khairan)
[Jawab]
Maazi ki nisbat se to yeh hukm hai ke ghusl-e-janaabat ke baghair jo Namaazein padhi hain, Unhein dobaraah padhna ho ga kyunke saa’il shehar mein tha aur paani ka husool uski istata’at mein tha haan albatta sardi ke khauf ki wajah se woh tayammum kar sakta hai lekin agar paani garam karne ki sahoolat muyassar ho to phir ghusl karna waajib ho ga. Agar aadmi safar mein ho, Paani garam karne ka intezaam na ho to tayammum kar sakta hai aur us soorat mein us par koi cheez laazim na ho gi. Aur jab paani paa le to us se ghusl karna ho ga.
__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…