Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

281. Neend mein mani ka khurooj

Neend mein mani ka khurooj

[Sawaal]

Kia neend mein mani khaarij hone se ghusl waajib ho jaata hai? Nez wo kon si ashyaa hain jin se ghusl waajib ho jaata ha. ?

[Jawab]

Neend mein mani khaarij hone se ghusl waajib ho jaata ha. Khuwah ehtilaam na bhi yaad ho aur agar kisi shakhs ko ehtilaam to ho lekin Inzaal na ho to us se ghusl laazim na ho ga.

Neend mein mani khaarij hone se ghusl waajib ho jaata hai lekin agar bedaari mein mani peshaab ke saath beh kar nikle aur lazzat na ho to us se ghusl waajib nahi ho ga. Lekin agar uchal kar lazzat ke saath khaarij ho to ghusl waajib ho ga. Mubaashirat ki soorat mein sirf khatney ke maqaamaat ke aapas mein milne se ghusl waajib ho jaata hai khuwah Inzaal na bhi ho.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents