290. Kis qism ke mouzah par masaah jaaiz hai?
Kis qism ke mouzah par masaah jaaiz hai?
[Sawaal]
Kia mouzon par masaah ke liye yeh shart hai ke woh makhsoos qism ke hon ya har qism ke mouzon par masaah karna jaaiz hai?
[Jawab]
Aise har qism ke mouzon par masaah karna jaaiz hai jo paaon aur takhnon ko chupaae hue hon, Paak hon,Paak jaanwaron maslan oont, Gaaye aur bakri waghaira ki khaal se bane hon. Unhein bahaalat-e-Wuzu pehna ho. Isi tarah juraabon par bhi masaah jaaiz hai jis tarah mouzon par jaaiz hai. Aur ‘Ulama ke do qoulon mein se ziyaada sahih qawl yehi hai.Yaad rahe juraabein woh hain jinhein roi ya aun waghaira se banaaya jaata hai. Nabi Kareem (ﷺ) se yeh saabit hai ke aap ne musaafir hone ki soorat mein juraabon aur na’leen par masaah farmaaya. Hazraat Sahaaba Karaamرضي الله عنهم ki ek jama’at se bhi yeh saabit hai aur phir husool-e-sahoolat mein juraabein mouzon hi ki maanind hain. Muddat-e-masaah ke silsila mein yaad rahe ke yeh musaafir ke liye teen din raat aur muqeem ke liye ek din raat hai. Aur ‘Ulama ke sahih qawl ke mutaabiq muddat ka aghaaz be Wuzu hone ke ba’d pehle masaah se ho ga jaisa ke is silsila mein waarid sahih Ahadees se yeh saabit hai. Masaah tahaarat-e-Sughra mein kiya jaata hai aur agar tahaarat-e-Kubra dar pesh ho to phir masaah ki ijaazat nahi balkeh mouzon utaar kar paaon ko dhona farz ho ga kyunke Safwan-bin-‘Asaal رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ se riwaayat hai ke:
أَمَرَنَا رَسُولُ اللهِ ، إِذَا كُنَّا سَفْرًا أَلَا تَنزِعَ خِفَافَنَا ثَلَاثَةَ أَيَّامٍ وَلَيَالِيَهُنَّ إِلَّا مِنْ جَنَابَةٍ، وَلَكِنْ مِنْ غَائِطِ وَبَوْلٍ وَنَوْم
(Sunan Tirmizi, Kitaab Al-Tahaarat, Baab Al-Masaah ‘Ali Al-Khufen lilmusafir-o-Al-Muqeem, H: 96, 3535, Masnad Ahmad 440, -O-Ibn-e-Khuzaima 1 193)
“Rasoolullah (ﷺ) ne hamein hukm diya ke jab hum musaafir hon to teen din aur raat mouze na utaarein haan albatta haalat-e-janaabat mein unhein utaarna ho ga. Bol-o-baraaz aur neend ki wajah se unhein utaarne ki zaroorat nahi hai.”
Tahaarat-e-Kubra se muraad woh tahaarat hai jo janaabat, Haiz aur nifaas ke ba’d haasil ki jaati hai aur hadas-e-Asghar Yaane baul-o-baraaz aur khurooj-e-reeh jaise nawaaqis-e-Wuzu ki soorat mein jo tahaarat haasil ki jaati hai, us se tahaarat-e-Sughra kehte hain. Wallahu waali Al-Toufeeq!
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…