291. Mousam-e-garma mein ‘uzr ke baghair juraabon par masaah karna
Mousam-e-garma mein ‘uzr ke baghair juraabon par masaah karna
[Sawaal]
Mein dekhta hoon ke ba’az Namazi mousam-e-garma mein bhi Wuzu karte hue juraabon par masaah karte hain. Umeed hai ke aap is par roshni daalen ke is mein kahan tak gunjaaish hai? Nez yeh ke muqeem ke liye afzal Kia hai paaon dhona ya masaah karna? Yaad rahe ke masaah karne waalon ke paas baajaz is ke koi ‘uzr nahi ke iski rukhsat hai?
[Jawab]
Jo Ahadees-e-Sahiha ke ‘umoom se yeh baat ma’loom hoti hai ke mouzon aur juraabon par mousam-e-garma ho ya sarma masaah karna jaaiz hai. mujhe kisi aisi shar’i daleel ka ‘ilm nahi jo is baat ki qaid lagaae ke masaah sirf mousam-e-sarma mein jaaiz hai haan albatta zaroori hai ke juraabon par masaah ke silsila mein shar’an mu’tabir shara’it ko malhooz rakha jaae. Maslan juraab ne us maqaam ko dhank rakha ho jis se dhona farz hai, us se bahaalat-e-tahaarat mein pehna gaya ho. Muddat-e-masaah malhooz rakhi jaae jo musaafir ke liye teen din raat aur muqeem ke liye ek din raat hai. Aur ‘Ulama ke sahih qawl ke mutaabiq be Wuzu hone ke ba’d pehle masaah se muddat ka aghaaz ho ga. Wallahu waali Al-Toufeeq.
__Shaikh Ibn-e- Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…