Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

292. Muddat-e-Masaah

Muddat-e-Masaah

[Sawaal]

Kia juraabon ka pehnna insaan ke liye ek din raat ke saath muqeed hai yaani sirf paanch Namaazein hi padh sakta hai? Aur agar woh bahaalat-e-tahaarat paanch se ziyaada Namaazein padh le to phir Kia hukm hai? Maslan us ne ‘Isha ki Namaz ke ba’d masaah ka aghaaz kiya aur Fajr , Zuhr , ‘Asar aur Maghrib ki Namaazein masaah ke saath adaa kin. Maghrib ka Wuzu barqaraar tha ke ‘Isha ka waqt ho gaya to Kia woh Maghrib ke us Wuzu ke saath Namaz-e-‘Isha adaa kar sakta hai ya us se juraabein utaar kar Wuzu karna pade ga?

[Jawab]

Hadees se saabit hai ke

وَقَتَ لِلْمُسَافِرِ فِي الْمَسْحِ عَلَى الْخُفَّيْنِ ثَلَاثَةَ أَيَّامٍ بِلَيَالِيْهَا وَلِلْمُقِيمِ يَوْمًا وَلَيْلَةٌ واصله

“Nabi Kareem (ﷺ) ne mouzon par masaah ke liye musaafir ke liye teen din raat aur muqeem ke liye ek din raat ki muddat ka ta’yyun farmaaya.”

(Waslahu fi Sunan Abi Dawood, Kitaab Al-Tahaarat, Baab Al-Touqeet fi Al-Masaah, H:157, -O-Sunan Nisai, Kitaab Al-Tahaarat, Baab Al-Touqeet fi Al-Masaah ‘Ali Al-Khuffen lilmuqeem, H: 128, 129)

Aap (ﷺ) ne masaah ki rukhsat ka ta’yyun Namaazon ki tadaad ke hisaab se nahi farmaaya. Is liye muqeem masaah ke saath paanch se ziyaada Namaazein bhi padh sakta hai. Maslan hadas ke ba’d Namaz-e-Maghrib ke Wuzu mein masaah kare. Phir Maghrib-o-‘Isha jam’a-e-taqdeem ki soorat mein adaa kare phir Namaz-e-Fajr Zuhr aur ‘Asar ke liye Wuzu aur masaah kar le aur phir Maghrib aur ‘Isha ki Namaazein kisi shar’i ‘uzr jaise beemaari waghaira ki wajah se jam’a-e-taqdeem ki soorat mein adaa kare to yeh jaaiz ho ga.

__Fatwa-e-committee__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents