Search
296. Hajj mein Haiz aur nifaas waali ‘Aurat kr liye tawaaf-o-wida’a
Hajj mein Haiz aur nifaas waali ‘Aurat kr liye tawaaf-o-wida’a
[Sawaal]
Haiz aur nifaas waali ‘Aurat tawaaf-o-wida’a kis tarah kare gi?
[Jawab]
Haiz aur nifaas waali ‘Aurat ke liye tawaaf-o-wida’a ka hukm nahi hai kyunke Hazrat Ibn-e-‘Abbas رضي الله عنهم se marwi Hadees se yeh saabit hai ke:
أُمِرَ النَّاسُ أَنْ يَكُونَ آخِرُ عَهْدِهِمْ بِالْبَيْتِ إِلا أَنَّهُ خُفِّفَ عَنِ الْمَرْأَةِ الْحَائِضِ
(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Hajj, Baab tawaaf Al-Daa’a, H: 1755 Sahih Muslim, Kitaab Al-Hajj, Baab Wajoob tawaaf Al-Daa’a ‘an Al-Haiz, H: 1328)
“Rasoolullah (ﷺ) ne logon ko yeh hukm diya ke aakhri ‘amal baitullah ka tawaaf hona chaahiye lekin haiza ‘Aurat ko aap ne is se mustasna qaraar diya.”
Ahl-e-ilm ke haan is silsila mein nifaas waali ‘Aurat ka hukm bhi yehi hai.
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…