299. Haaiza ke liye dua’aein padhna
Haaiza ke liye dua’aein padhna
[Sawaal]
Kia haaiza ke liye ‘arfa ke din dua’aon ki kitaabon ka padhna jaaiz hai jab ke un kitaabon mein Qur’ani Aayaat par mushtamil dua’aein bhi hoti hain?
[Jawab]
Haiz-o-nifaas waali ‘Aurton ke liye manasik-e-hajj ke silsila mein likhi hoi dua’aon ke padhna mein koi harj nahi balkeh sahih qawl ke mutaabiq Qur’an-e-Majeed padhne mein bhi koi harj nahi kyunke koi aisi sahih aur sareeh nus maujood nahi hai Jis se ma’loom ho ke haiz-o-nifaas waali ‘Aurat ke liye Qur’an-e-Majeed padhne ki mumaani’at hai. Mumaani’at sirf jumbi mard aur ‘Aurat ke liye hai ke woh Qur’an na padhe jaisa ke Hazrat ‘Ali رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ se marwi Hadees se saabit hai. Haiz-o-nifaas waali ke baare mein yeh jo Hadees Ibn-e-‘Umar رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ se marwi hai ke:
لا تَقْرَ الْحَائِضُ وَلَا الْجُنبُ شَيْئًا مِّنَ الْقُرْآنِ
(Sunan Tirmizi, Kitaab Al-Tahaarat, Baab msa jaa fi Al-Janab-o-Al haaiz . . . ‘ H: 131, Sunan Ibn-e-Maaja, Kitaab Al-Tahaarat-o-Sunanha, Baab maa jaa fi qiraat Al-Qur’an ‘Ali ghair tahaarat, H: 595, 596, Haza Hadees za’eef laan Ismaa’il-Bin-‘Ayaash Qad-o-siqa Asmat-ul-Hadees fi Ahl Al-Shaam waz’afwah fi Al-Hajazeen-o-hoa rawi haza Al-Hadees ‘an Moosa-Bin-‘Iqbat wahuwa min Ahl Al-Hajaaz qaal Al-Bahiqui haza Hadees za’eef laa yahanaj biha anzar urwah Al-Ghaleel, 192)
“Haaiz aur jumbi qat’an Qur’an-e-Majeed na padhen”
To yeh Hadees za’eef hai kyunke iss se Ismaa’il-Bin-‘Ayaash ne gajaazi raawiyon se riwaayat kiya hai aur woh un se riwaayat karne mein za’eef hai. Haan albatta haiz ya nifaas waali ko zubaani , Qur’an-e-Majeed ko haath lagaae baghair’ padhne ki ijaazat hai jab ke jumbi ghusl ke baghair zubaani padh sakta hai aur na dekh kar. Aur farq ka sabab yeh hai ke jumbi ke liye waqfa-e-janaabat bohat kam hota hai. Us ke liye yeh mumkin hota hai ke muqaaribat ke foran ba’d jab chaahe ghusl kar le. Ma’amla us ke apne haath mein hai. Agar woh paani iste’maal karne se ‘aajiz ho to tayammum karke Namaz aur Qur’an-e-Majeed padh sakta hai lekin haiz-o-nifaas waali ‘Aurat ka ma’amla us ke apne haath mein nahi balkeh Allah Ta’ala ke haath mein hai aur phir haiz-o-nifaas ka silsila kayi din tak jaari rehta hai lehaaza un ke liye Qur’an-e-Majeed padhne ki ijaazat de di gai taakeh yeh Qur’an-e-Majeed ko bhool na jaaein aur tilaawat aur Kitaabullah ke shar’i ahkaam haasil karne ki fazeelat se mehroom na rahen. lehaaza aisi kitaabon ke padhne ki to unhein baal aula ijaazat hai jo Aayaat-o-Ahadees ki mili julli dua’aon par mushtamil hon. ‘Ulama ke qawl mein se yehi durust aur ziyaada sahih qawl hai.
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…