Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

301. Maahwari ma’mool mein un izteraab

Maahwari ma’mool mein un izteraab

[Sawaal]

Mein bayaalees baras ki ek khaatoon hoon. Mera mahana ma’mool chaar din ke liye hota hai aur phir teen din tak khoon band rehta hai lekin saatween din phir khoon jaari ho jaata hai lekin khafeef miqdaar mein aur phir khoon neele rang mein tabdeel ho kar baarhwen din tak jaari rehta hai. Mein khoon ki kami ke marz mein mubtala thi lekin ‘ilaaj ke ba’d bahamdulilah yeh marz khatam ho gaya hai. Main ne apni mazkoora haalat ke baare mein ek muttaqi parhaizgaar tabeeb se mashwara bhi kiya to us ne kaha ke mein chawthe din ke ba’d ghusl kar ke namaz roza aur deegar ‘ibaadaat ko shur’u kar doon aur ‘amalan guzishta do saal se tabeeb ke us mashware par ‘amal kar rahi hoon lekin ba’az khawaateen ne mujh se kaha hai ke aath din tak intezaar karoon. Umeed hai ke aap rehnumaai farmaaein ge ke mere liye sahih tareeqa-e-kaar Kia hai?

[Jawab]

Mazkoora chaar aur saat, saare ayyaam, ayyaam-e-haiz hain. In dino mein Namaz roze ko chod do aur tumhare shohar ke liye un dino mein muqaaribaat bhi Halaal nahi. Chaar dinon ke ba’d ghusl kar ke Namaz padho aur chaar aur saat ayyaam ki is darmiyaani muddat (Teen din) mein tumhare shohar ke liye muqaaribaat bhi Halaal hai un dinon mein Roza rakhne mein bhi koi Mumaani’at nahi agar Ramzan ho to phir un dinon ka Roza bhi waajib ho ga. Aur jab ba’d ke saat dino se faarigh ho jaao to ghusl kar ke tamaam paak ‘Aurton ki tarah Namaz aur Roza bajaa laao kyunke mahaana ma’mool yaane haiz mein kami beshi hoti rehti hai aur us ke ayyaam kabhi ikhathe hote hain aur kabhi alag alag bhi!

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents