Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

302. Ghusl ke ba’d khoon

Ghusl ke ba’d khoon

[Sawaal]

Mein ma’mool ke paanch ayyaam guzaarne ke ba’d jab ghusl karti hoon to kabhi kabhi ghusl ke foran ba’d thoda sa khoon aa jaata hai aur phir us ke ba’d nahi aata. mujhe nahi ma’loom ke mein sirf paanch din shumaar karoon aur us se ziyaada ko shumaar na karoon aur Namaz’ Roza shur’u kar doon ya us din ko bhi ma’mool ke ayyaam mein shumaar karoon aur Namaz , Roza chod doon. Yaad rahe yeh soorat-e-haal hamesha nahi hoti balkeh do ya teen haiz ke ba’d hoti hai. Umeed hai rehnumaai farmaaein ge.

[Jawab]

Tahaarat ke ba’d khaarij hone waala maadah agar peeley ya matyaale rang ka hai to us ka koi e’itbaar nahi, Us ka hukm peshaab ke hukm ki maanind hai. Aur agar yeh maadah sareehan khoon hai to phir us se haiz shumaar kiya jaae ga aur aap ko khoon khatam hone ke ba’d dobaraah ghusl karna ho ga. Umm-e-‘Atiya رضي الله عنها —— jo Sahabiyat mein se hain———bayaan karti hain ke:

كُنَّا لَا نَعُدُّ الصُّفْرَةَ وَالْكُدْرَةَ بَعْدَ الظُّهْرِ شَيْئًا

(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Haiz, Baab Al-Sifarat-o-Al-Kudrat fi ghair ayyaam Al-Haiz, H: 326, -O-Abu Dawood, Kitaab Al-Tahaarat, Baab fi Al-Maraat tari Al-Sufrah-o-Al-Kudrat ba’ad Al-Zuhr, H: 307)

“Tahaarat ke ba’d aane waale peele ya matyaale rang ke maadah ko hum kuch shumaar nahi karti thin.”

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents