Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

306. Jab nifaas waali ‘Aurat chaalees dino se pehle paak ho jaae

Jab nifaas waali ‘Aurat chaalees dino se pehle paak ho jaae

[Sawaal]

Agar nifaas waali ‘Aurat chaalees dino se pehle paak ho jaae to Kia us ke liye Namaz’ Roza aur Hajj jaaiz hai?

[Jawab]

Haan! Us ke liye Namaz’ Roza’ Hajj aur ‘Umraah jaaiz hai aur us ke shohar ke liye muqaaribat Halaal hai khuwah woh das dinon ba’d hi paak ho jaae to phir bhi us se ghusl kar ke Namaz’ Roza shur’u kar dena ho ga. Us ke shohar ke liye wazeefa-e-zaujiyat bhi Halaal ho ga. Hazrat ‘Usman-bin-Abi Al-‘Aas رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ se jo yeh marwi hai ke unhon ne us se makrooh samjha hai to yeh makrooh tanzeehi ya ehtiyaat par mahmool ho ga aur yeh Hazrat ‘Usman-Bin-Abi Al-‘Aas رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ ka apna ijtehaad hai aur is ki koi daleel nahi. Durust baat yehi hai ke agar woh chaalees dino se pehle paak ho jaae to is mein koi harj nahi, Us ki tahaarat sahi ho gi. Aur agar us ke ba’d dobaraah khoon aa jaae to phir sahi baat yeh hai ke woh nifaas ki muddat chaalees din shumaar kare. Lekin bahaalat-e-tahaarat us ki Namaz Roza aur Hajj sahi ho ga. Haalat-e-tahaarat mein adaa kiye hue un mein se kisi ‘amal ko dohraane ki zaroorat nahi ho gi.

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents