309. Jab haiz ma’mool se ziyaada dinon tak jaari rahe
Jab haiz ma’mool se ziyaada dinon tak jaari rahe
[Sawaal]
Jab ‘Aurat ka maahwaari ma’mool aath ya saat dinon ka ho lekin kabhi ek ya do martaba yeh ma’mool is se ziyaada ho jaae to is ka Kia hukm hai?
[Jawab]
Jab ‘Aurat ka ma’mool chey ya saat dinon ka ho lekin us muddat mein izaafa ho jaae aur yeh silsila aath , Nau , Das ya giyarah dinon tak toul pakad jaae to un dino mein bhi us se Namaz nahi padhni ho gi hatta ke paak ho jaae kyunke Nabi (ﷺ) ne haiz ke liye koi had muqarrar nahi farmaai.
Aur Irshaad-e-Baari Ta’ala hai ke:
وَيَسْتَلُونَكَ عَنِ الْمَحِيضِ قُلْ هُوَ أَذَى
(Al-Baqrah 2 222)
“Aur aap se haiz ke baare mein daryaaft karte hain, k?Keh dijiye woh to nijaasat hai”
To jab tak yeh khoon baaqi ho ga ‘Aurat apne haal hi par ho gi hatta ke khoon band ho jaae. ghusl kar le aur Namaz padhni shur’u kar de. Agar doosre mahine is se kam dino ke liye haiz aae to jab paak ho jaae to ghusl kar le khuwah sabqa muddat ke mutaabiq na ho. Asal baat yeh hai ke jab tak haiz maujood ho ga ‘Aurat Namaz nahi padhe gi khuwa haiz ma’mool ke ayyaam ke mutaabiq ho ya un se ziyaada ho ya kam ho aur jab paak ho jaae gi to phir us se Namaz padhni ho gi.
__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…