311. Jab haiz Namaz ke waqt shur’u ho
Jab haiz Namaz ke waqt shur’u ho
[Sawaal]
Mera mahine ka ma’mool Namaz ke douraan shur’u ho gaya to is soorat mein mujhe Kia karna ho ga? Kia muddat-e-haiz ki Namaazon ki mujhe qaza deni ho gi?
[Jawab]
Jab haiz ka aghaaz Namaz ka waqt shur’u hone ke ba’d ho maslan zawaal ke nasf ghanta ba’d aghaaz hoa to haiz se tahaarat ke ba’d us se us Namaz ki qaza dena ho gi jis ka waqt us ki tahaarat ki haalat mein shur’u ho gaya tha kyunke Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:
إِنَّ الصَّلَاةَ كَانَتْ عَلَى الْمُؤْمِنِينَ كِتَابًا مَّوْقُوتًا
(Al-Nisaa 4103)
“Beshak Namaz ka momineen par auqaat (Muqarrarah) mein adaa karna farz hai.”
Lekin douraan-e-haiz ki Namaazon ki qaza nahi hai, Chunaanche ek taweel Hadees mein Nabi Kareem (ﷺ) ke yeh alfaaz bhi hain ke:
أَلَيْسَ إِذَا حَاضَتْ لَمْ تُصَلُّ وَلَمْ تَصُمْ؟
(Sahih Bukhari, Kitasb Al-Haiz, Baab Tark Al-Haiz Al-Saum, H: 304, 956, 1462, 1951, 2658)
“Kia yeh baat nahi ke jab ‘Aurat haaiza hoti hai to woh Namaz padhti hai aur na Roza rakhti hai?”
Ahl-e-ilm ka is masla par ijm’a hai ke ‘Aurat ke liye muddat-e-haiz ki Namaazon ki qaza nahi hai haan albatta ‘Aurat jab paak ho aur is qadar waqt ho ke woh us waqt ki Namaz ki ek ya ek se ziyaada raka’atein padh sakti ho to us ke liye us waqt ki Namaz ko padhna farz ho ga jis mein woh paak ho gai hai kyunke Rasoolullah (ﷺ) ka Irshaad-e-Giraami hai ke:
مَنْ أَدْرَكَ رَكْعَةً مِنَ الْعَصْرِ قَبْلَ أَنْ تَغْرُبَ الشَّمْسُ فَقَدْ أَدْرَكَ الْعَصْرَ
(Sahih Muslim, Kitaab Al-Masaajid, Baab min adrak raka’at min Al-Salaat faqad adrak talak Al-Salaat Sunan Abi Dawood, Kitaab Al-Salaat, Baab H: 608-O-Sunan abi Dawood, Kitaab Al-Salaat, Baab waqt Al-‘Asar, H: 412, -O-Masnad Ahmad, 2 254, 282)
“Jis ne ghuroob-e-Aftaab se pehle ‘Asar ki ek raka’at bhi paa li to us ne ‘Asar ko paa liya.”
To jab ‘Aurat Asar ke waqt ya tul’oo-e-Aftaab se pehle paak ho aur tul’oo-o-ghuroob-e-Aftaab mein ek raka’at ki miqdaar ke baraabar waqt baaqi ho to us se ‘Asar aur Fajr ki Namaz padhna ho gi.
__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…