312. Jab janeen teesre maheene saaqit ho jaae
Jab janeen teesre maheene saaqit ho jaae
[Sawaal]
Mein ek ‘Aurat hoon. Teesre maheene mera janan saaqit ho gaya tha lekin main ne paak hone tak Namaazein nahi padhin. Ab mujh se kaha gaya hai ke mujhe Namaazein padhni chaahiye thin. Mein Kia karoon jab ke muta’yyan taur par mujhe yeh ma’loom bhi nahi ke main ne kitne din Namaazein nahi padhin?
[Jawab]
Ahl-e-ilm ke haan ma’roof baat yeh hai ke jab teesre maah ‘Aurat ka janeen saaqit ho jaae to us se taahir hone tak Namaz nahi padhni ho gi kyunke jab is haalat mein isqaat ho ke janeen ke ‘azaa banna shur’u ho gae hon to isqaat ke ba’d khaarij hone waala khoon nifaas ka ho ga aur jab tak yeh baaqi rahe Namaz nahi padhi jaae gi.
‘Ulama yeh bhi farmaate hain ke jab janeen ikkiyaasi (81)ayyaam ka ho jaae to us mein ‘azaa ka paida hona mumkin hai aur ikkiyasi (81) din ki yeh muddat teen maah se kam hai lehaaza agar yeh baat yaqeeni ho ke isqaat teesre maah ke ba’d hoa hai to yeh nifaas ka khoon ho ga aur agar isqaat assi (80) dinon se pehle ho gaya ho to phir yeh khoon faasid ho ga us ki wajah se Namaz ko nahi choda jaae ga. Is sawaal karne waali khaatoon ko chaahiye ke woh achi tarah yaad kare. Agar janeen ka isqaat assi (80) dinon se pehle hoa hai to us se Namaazon ki qaza deni ho gi aur agar us se muta’yyan taur par yaad nahi to yaad karne ki koshish kare aur jis muddat ke baare mein yeh zan-e-ghaalib ho ke is mein us ne Namaazein nahi padhin to us zan-e-ghaalib ke mutaabiq Namaazon ki qaza de le.
__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…