317. Kaam ki jagah par Namaz ke liye azaan
Kaam ki jagah par Namaz ke liye azaan
[Sawaal]
Hamare kaam ki jagah Masjid se ziyaada door nahi hai to Kia hum kaam ki jagah par azaan keh sakte hain?
[Jawab]
Tum logon par waajib yeh hai ke Masjid mein ba jama’at Namaz adaa karo kyunke Nabi Kareem (ﷺ) ka Irshaad-e-Giraami hai ke:
مَنْ سَمِعَ النَّدَاءَ فَلَمْ يَأْتِ فَلَا صَلَاةَ لَهُ إِلَّا مِنْ عُذر
(Sunan Ibn-e-Maaja, Kitaab Al-Masaajid-o-Al-jama’at, Baab Al-Taghleez fi Al-Takhaluf ‘an Al-jama’at, H: 793,-O-Ikhraja Al-Daarqatni 1420, -O-Al-Haakim 1245, -o-Al-Bahiqui 375 min haza Al-Tareeq-o-sandaah sahih)
“Jo shakhs azaan sune aur phir Namaz ke liye na aae to us ki Namaz nahi hoti illa yeh ke koi ‘uzr ho.”
Haan albatta agar tumhare liye koi jabri mumaani’at ho to phir adla-e-shari’ya ke ‘umoom ke mutaabiq tumhare liye apne kaam ki jagah par azaan-o-iqaamat jaaiz hai.
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…