Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

323. Kia iqaamat kehne waala Imaamat bhi karwa sakta hai?

Kia iqaamat kehne waala Imaamat bhi karwa sakta hai?

[Sawaal]

Kia muazzin ke liye yeh jaaiz hai ke woh iqaamat keh kar Namaaziyon ka Imaam bhi ban jaae?

[Jawab]

Haan yeh jaaiz hai ke ek hi shakhs azaan-o-iqaamat kahe aur agar muazzin deegar Namaaziyon ki nisbat Qur’an-e-Majeed ka ziyaada ‘aalim ho to woh hazireen ka Imaam bhi ban sakta hai. Jab muqararah Imaam maujood na ho aur woh muazzin ko apna naib bana jaae to is soorat mein bhi muazzin Imaamat karwa sakta hai, Isi tarah muazzin ko tankhuwaah daar Imaam ke mansab par faaiz karna bhi jaaiz hai.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents