325. Fajr ki pehli aur doosri azaan mein farq
Fajr ki pehli aur doosri azaan mein farq
[Sawaal]
Main ne padha hai ke ((الصلوۃ خیر من النوم)) ke alfaaz Fajr ki pehli azaan mein kahe jaaein lekin ‘Asar-e-hazir mein hum in alfaaz ko doosri azaan mein sunte hain. Umeed hai aap daleel ke saath wazaahat farmaaein ge?
[Jawab]
Is jumla ko azaan-e-Fajr mein kaha jaae. Azaan-e-Fajr se muraad woh azaan hai jis se tul’oo-e-Fajr ke ba’d Farz Namaz ke adaa karne ke liye kaha jaata hai. Ahadees mein jo aaya hai ke us se azaan-e-Awwal mein kaha jaae to yeh Ahadees sahih hain lekin Awwal se muraad azaan hai, Jis se ibtidaae waqt mein meenar ke paas kaha jaata hai aur un Ahadees mein azaan-e-saani se muraad iqaamat hai kyunke iqaamat ko bhi azaan kaha jaata hai jaisa ke Hadees mein hain ke Nabi(ﷺ)ne farmaaya:
بَيْنَ كُلِّ أَذَانَيْنِ صَلَاةٌ
(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Azaan, Baab kam bain Al-Azaan-o-Al-iqaamat-o-min yantuzar iqaamat Al-Salaat H: 624, -O-Sahih Muslim, Kitaab Al-Musafireen, Baab bain kal azaneen salaat, H: 838)
“Har do azaanon ———Yaane azaan-o-iqaamat———ke darmiyaan Namaz hai.”
Raat ke aakhri hissa ki azaan ke baare mein raajeh baat yeh hai ke yeh Ramzan ke saath khaas hai kyunke is Hadees mein alfaaz yeh hain ke:
لا يَرُدَّكُمْ عَنْ سَحُوْرِكُمْ أَذَانُ بِلَالٍ فَإِنَّهُ يُؤَذِّنُ بِلَيْلٍ لِيُوْقِظَ نَائِمَكُمْ وَيَرْجِعَ قَائِمَكُمْ
(Wal-Hadees balaf, Laa yamna’an ahadkam azaan-e-Bilaal . . . , Alakh, Sahih Bukhari, Kitaab Al-Azaan, Baab Al-Azaan qabl Al-Fajr, H: 621, 5298, 7248)
“Bilal ki azaan tumhein sehri khaane se na roke Woh raat ko azaan dete hain taakeh woh tumhare soye hue ko bedaar kardein aur qayaam karne waala lout jaae.”
Is se waazeh hoa ke yeh azaan is liye hai taakeh soya hoa sehri ke liye bedaar ho jaayeaur khada hokar Namaz padhne waala yeh ma’loom kare ke sehri ka waqt qareeb hai aur woh apni Namaz ko khatam lehaaza us mein ((الصلاۃ خیر من النوم)) kehne ki zaroorat nahi.
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…