Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

328. Munfarid ke liye iqaamat laazim nahi

Munfarid ke liye iqaamat laazim nahi

[Sawaal]

Jab mein Namaz padhne ka iraadah karoon to Kia waqt hone ke ba’d azaan ki bajaae iqaamat keh lena hi kaafi ho ga?

[Jawab]

Azaan ka shariy’at mein is liye hukm diya gaya hai taakeh Ahl-e-shehar ko bata diya jaae ke Namaz ka waqt ho gaya hai. Agar sab ke sab Ahl-e-shehar ek jagah ikhathe hon aur un ke siwa shehar mein aur koi na ho to phir azaan waajib nahi hai haan albatta musaafir ke liye azaan dena mustahab hai taakeh haazireen ko bata diya jaae ke jama’at khadi hone lagi hai lehaaza jab koi shakhs infiraadi taur par Namaz padh raha ho to us ke liye iqaamat kehna laazmi nahi hai.

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents