329. Munfarid ke liye Azaan-o-iqaamat
Munfarid ke liye Azaan-o-iqaamat
[Sawaal]
Ek bhai ne yeh sawaal poocha hai ke mein kabhi kabhi tanha Farz Namaz padhta hoon kyunke mere qareeb koi Masjid nahi hai, To Kia mere liye yeh laazim hai ke mein har Namaz ke liye azaan-o-iqaamat kahoon ya yeh bhi jaaiz hai ke azaan-o-iqaamat ke baghair Namaz padh loon?
[Jawab]
Sunnat yeh hai ke aap azaan-o-iqaamat kahen. Us ke wajoob ke baare mein Ahl-e-ilm mein ikhtilaaf hai lekin afzal aur behtar yeh hai ke ‘umoom-e-adillah ke pehlu se azaan-o-iqaamat kahen. Lekin aap ke liye yeh laazim hai ke jahan tak mumkin ho Namaz baa jama’at adaa karein. Agar jama’at paa lein ya kisi qareeb ki Masjid se azaan sunein to zaroori hai ke muazzin ki awaaz par labbaik kahen aur Namaz baa jama’at mein haazri dein. Agar azaan sunaai na de aur qareeb koi Masjid bhi na ho to phir Sunnat yeh hai ke azaan-o-iqaamat kahen.
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…