335. Jooton ke saath Namaz padhna
Jooton ke saath Namaz padhna
[Sawaal]
Jooton ke saath Namaz padhne ke baare mein Kia hukm hai? Daleel ke saath bayaan farmaaiye. Ba’az bhai iss se jaaiz bataate hain aur ba’az najaaiz aur woh kehte hain ke yeh hukm us soorat mein hai jab aadmi khulli jagah zameen par Namaz padh raha ho aur zameen dhoop ki wajah se bohat garam ho aur woh zameen jo sooraj ke saamne munkashif na ho, Us ke baare mein yeh ahtemaal hota hai ke woh naapaak ho?
[Jawab]
(Sahih Ahadees is baat par dalaalat kanaan hain ke jooton mein Namaz padhna mustahab hai ya kam az kam jaaiz zaroor hai, Chunaanche Hazrat Anas-Bin-Maalik رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ se poocha gaya Kia:)
أَكَانَ النَّبِيُّ ، يُصَلِّي فِي نَعْلَيْهِ قَالَ : نَعَمْ
(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Salaat, Baab Al-Salaat fi ‘an-Na’aleen, H: 386, 5850, Sahih Muslim, Kitaab Al-Masaajid, Baab Jawaaz Al-Salaat fi ‘an-Na’aleen, H: 555)
“Rasoolullah (ﷺ) apne na’aleen mein Namaz adaa farma lete the? Unhon ne jawaab diya: “Haan.”
Hazrat Shadaad-Bin-Awas رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ se riwaayat hai ke Rasoolullah (ﷺ) ne farmaaya:
خَالِفُوا الْيَهُودَ فَإِنَّهُم لَا يُصَلُّوْنَ فِي نِعَالِهِمْ وَلَا خِفَافِهم
(Sunan Abi Dawood, Kitaab Ak-Salaat, Baab Al-Salaat fi ‘an-Na’al, H: 652)
“Yahoodiyon ki mukhaalifat karo ke woh apne jooton aur mouzon mein Namaz nahi padhte.”
Un Ahadees mein is e’itbaar se koi farq nahi kiya gaya ke Namaz chat waali Masjid mein ho ya sehra , Kheton aur gharon waghaira mein ho balkeh ba’az riwaayat se Masjid mein bhi jooton samait Namaz ka zikr hai jaisa ke Hazrat Abu Sa’eed Khadri رضی اللہ عنہ se marwi hai ke Rasoolullah (ﷺ) ne farmaaya:
إِذَا جَاءَ أَحَدُكُمْ إِلَى الْمَسْجِدِ فَلْيَنْظُرْ فَإِنْ رَأَى فِي نَعْلَيْهِ قَدْرًا أَوْ أَذًى فَلْيَمْسَحْهُ وَلْيُصَلِّ فِيهِمَا
(Sunan Abi Dawood, Kitaab Al-Salaat, Baab Al-Salaat fi ‘an-Na’al, H: 650)
“Jab tum mein se koi Masjid mein aae to woh dekhe ke agar us ke jooton mein koi naapaak ya takleef daah cheez lagi ho to us se chaahiye ke apne jooton se us se saaf kar de aur un mein Namaz padh le.”
Abu Dawood hi mein Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه se marwi hai ke Rasoolullah (ﷺ) ne farmaaya:
إِذَا صَلَّى أَحَدُكُمْ فَخَلَعَ نَعْلَيْهِ فَلَا يُؤْذِ بِهِمَا أَحَدًا، لِيَجْعَلْهُمَا بَيْنَ رِجْلَيْهِ أَوْ لِيُصَلِّ فيهما
(Sunan Abi Dawood, Kitaab Al-Salaat, Baab Al-Musali Iza Khala’a Na’aliyah Ayina Yaz’ahuma, H: 655, -O-qad qaal Al-‘Iraqi fi haza Al-Hadees: Sahih Al-Usnad)
“Jab tum mein se koi Namaz padhe aur apne joote utaar de to un ke saath kisi ko takleef na de, Unhein apne paaon ke darmiyaan rakh le ya un mein hi Namaz padhe.”
‘Allama ‘Iraaqi ne is Hadees ke baare mein farmaaya hai ke yeh Sahih Al-Asnaad hai. Abu Dawood’ Ahmad aur Ibn-e-Maaja ne ‘Amr-bin-Shu’aab ‘an Abeeya ‘an Jadaah sanad se jo yeh riwaayat bayaan ki hai ke:
رأَيْتُ رَسُولَ اللهِ ﷺ يُصَلَّى حَافِيًا وَمُنْتَعِلاً
(Sunan Abi Dawood, Kitaab Al-Salaat, Baab Al-Salaat fi Al-Na’al, H: 653,-O-Sunan Ibn-e-Maaja, Kitaab iqaamat Al-Salwaat, Baab Al-Salaat fi Al-Na’al, H: 1038)
“Main ne Rasoolullah (ﷺ) ko barhana paaon bhi aur jooton ke saath bhi Namaz padhte hue dekha hai.”
(To is ki sanad bhi Jayyad hai.)
__Fatwa-e-committee__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…