Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

345. Muqeem ke musaafir ke peeche Namaz

Muqeem ke musaafir ke peeche Namaz

[Sawaal]

Jab insaan musaafir ho aur woh Namaz-e-Zuhr ba jama’at adaa karna chaahe Ek muqeem shakhs ko paae jis ne Namaz-e-Zuhr adaa kar li ho to Kia is soorat mein woh muqeem musaafir ke saath Namaz adaa kar sakta hai? Aur Kia us ke saath Namaz-e-qasar padhega ya poori Namaz?

[Jawab]

Jab muqeem musaafir ke peeche fazeelat-e-jama’at ke husool ke liye Namaz padhe aur muqeem apni Farz Namaz pehle adaa kar chuka ho to is soorat mein us se musaafir ke saath do raka’at hi padhna hongi kyunke yeh Namaz muqeem ke haqq mein Nafil ho gi lekin agar muqeem musaafir ki iqtida mein Zuhr-o-‘Asar aur ‘Isha ke Farz adaa kare to is soorat mein us se chaar raka’at padhni hongi. lehaaza Imaam do raka’at ke ba’d jab salaam pher de to muqeem muqtadi ko do raka’at mazeed adaa kar ke apni Namaz ki takmeel karna ho gi. Agar musaafir muqeem ki iqtida mein Namaz adaa kar raha ho to ‘Ulama ke sahih qawl ke mutaabiq musaafir ko Zuhr-o-‘Asar-o-‘Isha ki Namaazon ki chaar chaar raka’atatein hi padhna hon gi. kyunke Imaam Ahmad رحمة الله ne “Masnad mein” aur Imaam Muslim رحمة الله ne apni “Sahih” mein riwaayat kiya hai ke:

أَنَّ ابْنَ عَبَّاسٍ سُئِلَ عَنِ الْمُسَافِرِ يُصَلِّي خَلْفَ الإِمَامِ أَرْبَعًا وَيُصَلِّي مَعَ أَصْحَابِهِ رَكْعَتَيْنِ، فَقَالَ: هُكَذَا السنة

(Masnad Ahmad, 1 216, -O-Sahih Muslim, Kitaab Salaat Al-Musaafireen, Baab Salaat Al-Musaafireen-o-Qasar ha, H: 688)

“Hazrat Ibn-e-‘Abbas رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ se poocha gaya ke Kia baat hai ke musaafir muqeem Imaam ki iqtida mein chaar raka’at lekin apne saathiyon ke saath do raka’at adaa karta hai? To unhon ne farmaaya Sunnat Isi tarah hai!”

Aur phir Nabi (ﷺ) ke is Irshaad ke ‘umoom ka taqaaza bhi yehi hai ke:

إِنَّمَا جُعِلَ الإِمَامُ لِيُؤْتَمَّ بِهِ فَلَا تَخْتَلِفُوا عَلَيْهِ

(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Azaan, Baab iqaamat Al-Saf min tamaam Al-Salaat, H: 722, 734, -O-Sahih Muslim, Kitaab Al-Salaat, Bab Al-Tamaam Al-Mamoom baal Imaam, H: 414)

“Imaam is liye banaaya jaata hai taakeh us ki iqtida ki jaae lehaaza us se ikhtilaaf na karo.”

(Is Hadees ki sehat par Aimmah ka ittefaaq hai.)

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents