346. Jab Namaz ke adaa karne ya na karne mein shak ho
Jab Namaz ke adaa karne ya na karne mein shak ho
[Sawaal]
Jab Namazi ko shak ho ke ma’loom nahi us ne Namaz padhi hai ya nahi to woh Kia kare? Waqt mein shak ho to Kia kare aur agar waqt ke ‘ilaawa shak ho to Kia kare?
[Jawab]
Jab musalmaan ko Farz Namaazon mein se kisi Namaz ke baare mein yeh shak ho ke ma’loom nahi us ne Namaz padhi hai ya nahi to is soorat mein us par waajib hai ke woh us Namaz ko foran padh le kyunke asal baqa waajib hai lehaaza us se is waajib ko jald adaa karna chaahiye kyunke Nabi Kareem (ﷺ) ka farmaan hai ke:
مَنْ نَامَ عَنِ الصَّلَاةِ أَوْ نَسِبَهَا فَلْيُصَلِّهَا إِذَا ذَكَرَهَا لا كَفَّارَةً لَهَا إِلَّا ذَلِكَ
(Sahih Bukhari, Kitaab Mawaqiyat Al-Salaat, Baab min nasi Al-Salaat . . . , H: 597-o-Sahih Muslim, Kitaab Al-Salaat, Baab Qaza Al-Salaat Al-Faaitat, H: 684)
“Jo shakhs so jaae ya Namaz adaa karna bhool jaae to woh usi waqt padhe jab us se yaad aae Is ka yehi kaffaarah hai.”
Musalmaan ke liye yeh waajib hai ke woh Namaz ka bohat ziyaada ehtimaam kare, ba jama’at adaa karne ki koshish kare aur aise kaamon mein mashghool na ho ke Namaz ko bhool hi jaae kyunke Namaz Islam ka sutoon aur shahaadatein ke ba’d sab se ahem farz hai. Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:
حَافِظُوا عَلَى الصَّلَوَاتِ وَالصَّلَوةِ الْوُسْطَى وَقُومُوا لِلَّهِ قَانِتِينَ
(Al-Baqraah 2 238)
“(Muslamaano) Sab Namaazein khusoosan beech ki Namaz (Yaane Namaz-e-‘Asar) poore iltizaam ke saath adaa karte raho aur Allah ke aage adab se khade raha karo.”
Nez farmaaya:
وَأَقِيمُوا الصَّلَوَةَ وَاتُوا الزَّكَوٰةَ وَارْكَعُوا مَعَ الرَّاكِمِينَ
(Al-Baqraah 2 43)
“Aur Namaz qaaim karo aur Zakaat diya karo aur (Allah ke aage) jhukne waalon ke saath jhuka karo.”
Aur Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaaya ke:
رأسُ الْأَمْرِ الإِسْلَام وَعَمُودُهُ الصَّلَاةُ وَذِرْوَةُ سَنَامِهِ الْجِهَادُ فِي سَبِيلِ اللهِ
(Sunan Tirmizi, Kitaab Al-Imaan, Baab maa jaa fi hurmat Al-Salaat, H: 2616)
“Asal ma’amla to Islam hai aur us ka sutoon Namaz hai aur us ke kohaan ki bulandi jihaad fi sabeelillah hai.”
Nabi (ﷺ) ne yeh bhi farmaaya hai ke:
يني الإِسْلَامُ عَلَى خَمْسٍ : شَهَادَةِ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ، وَأَنَّ مُحَمَّدًا رَسُولُ اللَّهِ وَإِقَامِ
الصَّلَاةِ وَإِبْنَاءِ الزَّكَاةِ وَصَوْمِ رَمَضَانَ وَحَجُ الْبَيْتِ))
(Sahih Muslim, Kitaab Al-Imaan Baab bayaan arkaan Al-Islam-o-dua’amahu Al-‘Azaam H: 16)
“Islam ki bunyaad paanch baaton par hai:
(1) Is baat ki gawaahi ke Allah ke siwa koi (Haqeeqi) ma’abood nahi aur Hazrat Muhammad (ﷺ) Allah ke Rasool hain.
(2) Namaz qaaim karna.
(3) Zakaat adaa karna
(4) Ramzaan ke roze rakhna aur
(5) Baitullah ka Hajj karna.”
Namaz ki ‘azmat shaan aur us ki hifaazat ke wajoob ke silsila mein Aayaat-o-Ahadees bakasrat hain.
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…