347. Jab muqtadi Surah Fatiha padhna bhool jaae
Jab muqtadi Surah Fatiha padhna bhool jaae
[Sawaal]
Jab Namaz khadi ho jaae aur mein muqtadi ki hesiyat se Namaz ba jama’at adaa karne ki haalat mein ek ya do raka’at mein Surah Fatiha padhna bhool jaaon to Kia meri yeh Namaz sahi ho gi ya nahi? Kia mere liye Surah Fatiha ko padhna zaroori ho ga ya nahi? Is haalat mein mujhe Kia tareeqa ikhtiyaar karna chaahiye?
[Jawab]
Jab muqtadi Surah Fatiha padhna bhool jaae ya us se us ke wajoob ka ‘ilm na ho ya woh Imaam ko Ruko’ ki haalat mein paae to un haalaat mein us ki raka’at ho jaae gi Us ki Namaz sahi ho gi aur jahaalat , Nisyaan ya ‘adam-e-idraak qayaam ki wajah se woh ma’zoor ho ga. Us ke liye us raka’at ki qaza laazim na ho gi Aksar Ahl-e-ilm ka yehi qawl hai kyunke Sahih Bukhari mein Hazrat Abu Bakrah Saqafi رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ se riwaayat hai ke unhon ne ek Namaz mein Nabi Kareem (ﷺ) ko bahaalat-e-ruku’ paaya to saf se pehle hi Ruko’ shur’u kar diya aur phir haalat-e-ruku’ mein hi saf mein shaamil ho gae to Nabi (ﷺ) ne un se farmaaya:
زادَكَ اللهُ حِرْصًا وَلَا تَعُد
“Allah Ta’ala tumhare shauq mein izaafa farmaae aainda is tarah na karna.”
(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Azaan, Baab Izaa raka’a daun Al-Saf, H: 783)
Aap(ﷺ) ne unhein is raka’at ki qaza ka hukm na diya balkeh is baat se mana’ farmaaya hai ke aainda saf mein shaamil hue baghair saf se pehle Ruko’ karen.
Wallahu waali Al-Toufeeq
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…