Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

349. Namazi ke aage se guzarne se Namaz nahi toot’ti

Namazi ke aage se guzarne se Namaz nahi toot’ti

[Sawaal]

Jab insaan Namaz padh raha ho aur us ke aage se koi insaan guzar jaae to Kia is se us ki Namaz toot jaae gi aur us se Namaz ko dobaraah padhna ho ga?

[Jawab]

Namazi ke aage se kisi mard ke guzarne se Namaz nahi toot’ti balkeh ‘Ulama ke sahih qawl ke mutaabiq teen cheezon mein se kisi ek ke guzarne ki soorat mein Namaz toot jaati hai aur woh teen cheezein yeh hain:

(1) Baaligh ‘Aurat

(2) Siyaah rang ka kutta aur

(3) Gadha

Nabi Kareem (ﷺ) se Isi tarah saabit hai,

Chunaanche Aap (ﷺ) ne farmaaya ke:

يَقْطَعُ صَلَاةَ الْمَرْءِ الْمُسْلِمِ إِذَا لَمْ يَكُنْ بَيْنَ يَدَيْهِ مِثْلُ مُؤْخِرَةِ الرَّحْلِ الْمَرْأَةُ وَالْحِمَارُ وَالْكَلْبُ الأَسْوَدُ، قِيلَ يَارَسُولَ اللَّهِ مَا بَالُ الأَسْوَدِ مِنَ الْأَحْمَرِ وَالْأَصْفَرِ؟ قَالَ: الْكَلْبُ الأَسْوَدُ شَيْطَانٌ

(Sahih Muslim, Kitaab Al-Salaat, Baab Qadsr maa Yastoor Al-Musali, H: 510, Abu Dawood, Kitaab Al-Salaat, Baab maa Yaqta Al-Salaat, H: 702, Tirmizi, Kitaab Al-Salaat, baab maa jaa innahu laa yaqta Al-Salaat, H: 338; Ibn-e-Maaja, Kitaab Al-Salaat, Baab maa yaqta Al-Salaat, H: 952)

“Jab paalan ki keeli (Paalan ke pichli taraf waali lakdi) ki maanind musalmaan aadmi ke saamne satrah na ho to phir ‘Aurat , Gadha aur kaala kutta aage se guzar jaae to Namaz toot jaati hai.” ‘Arz kiya gaya ya Rasoolullah! kaale rang ke aur surkh-o-peeley rang ke kutte mein farq kio hai? Aap (ﷺ) ne farmaaya “Siyaah rang ka kutta shaitaan hai.”

Maqsood yeh hai ke ‘Ulama ke sahih qawl ke mutaabiq agar in teen ashiya mein se agar koi Namazi ke aage se guzar jaae to us se us ki Namaz toot jaati hai,

Aadmi ke aage se guzarne se Us ke sawaab mein kami ho jaati hai. lehaaza agar mumkin ho to us se aage se guzarne se mana’ karna chaahiye, guzarne waale ke liye bhi yeh jaaiz nahi ke woh kisi Namazi ke aage se guzre, kyunke Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaaya:

لَوْ يَعْلَمُ الْمَارُ بَيْنَ يَدَيِ الْمُصَلِّي مَاذَا عَلَيْهِ لَكَانَ أَنْ يَقِفَ أَرْبَعِينَ، خَيْرًا لَهُ مِنْ أَنْ يَمُرَّ بَيْنَ يَدَيِ الْمُصَلِّي

(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Salaat, Baab Asam Al-Maar bain yadi Al-Musali, H: 510; Sahih Muslim, Kitaab Al-Salaat, Baab min Al-Maar Bain yadi Al-Musalli, H: 507; Abu Dawood, Kitaab Al-Salaat, Baab maa Yooniha innahu min Al-Maroor, H: 701)

“Agar Namazi ke aage se guzarne waale ko yeh ‘ilm ho ke is se us se kis qadar gunaah hota hai to chaalees saal tak khade rehna us ke liye Namazi ke aage se guzarne ki nisbat behtar ho.”

Namazi ko bhi Aap (ﷺ) ne hukm diya ke jab woh Namaz padhe to apne aage sutraah rakh le aur kisi ko apne aage se na guzarne de balkeh us se mana’ kare, Chunaanche Aap(ﷺ)ne farmaaya:

إِذَا صَلَّى أَحَدُكُمْ إِلَى شَيْءٍ يَسْتَرُهُ مِنَ النَّاسِ فَأَرَادَ أَحَدٌ أَنْ يَجْتَازَ بَيْنَ يَدَيْهِ فَلْيَدْفَعْهُ فَإِنْ أَبِي فَلْيُقَاتِلُهُ فَإِنَّمَا هُوَ شَيْطَانٌ

(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Salaat, Baab yarad Al-Musali min mar bain Yadeeh, H: 509,-o- Sahih Muslim, Kitaab Al-Salaat, Baab mana’ Al-Maar bain Yadi Al-Musali, H: 505)

“Jab koi shakhs logon se sutraah kar ke Namaz adaa kar raha ho aur koi us ke aage se guzarne ka iraadah kare to us se chaahiye ke us se mana’ kare aur agar woh ba’az na aae to us se ladaai mein bhi daregh na kare kyunke woh shaitaan hai.”

Sunnat is amar par dalaalat karti hai ke Namazi ko chaahiye ke woh apne aage se guzarne waale ko mana’ kare khuwah woh un mazkoora baala teen cheezon ke ‘ilaawa koi aur cheez ho aur khuwah woh insaan ho ya haiwaan basharteke us se asaani ke saath rokna mumkin ho lekin agar woh ghaalib aa kar guzar jaae to us ki Namaz ko koi nuqsaan na ho ga.

Musalmaan ke liye Sunnat yeh hai ke jab woh Namaz padhe to us ke aage koi cheez bataur-e-sutraah ho maslan aage kursi rakh le ya zameen mein neezah gaadh le ya dewaar ho ya Masjid ke sutoonon mein se koi sutoon ho. Agar guzarne waale sutraah ke peeche se guzrein to is se Namaz ko koi nuqsaan nahi pohanchta aur agar woh sutraah aur Namazi ke darmiyaan mein se guzrein to phir unhein mana’ kiya jaae ga aur agar guzarne waala ‘Aurat ya gadha ya kaala kutta ho to is se Namaz toot jaae gi Yaane jab un teenon mein se koi ek cheez Namazi ke aage qareeb se guzre aur us ne sutraah na rakha ho aur us ke aur Namazi ke darmiyaan teen haath ya is se bhi kam faasla ho to is se Namaz toot jaae gi aur agar yeh door se guzrein ke faasla teen haath se ziyaada ho to phir Namaz ko koi nuqsaan nahi pohanche ga. Daleel yeh hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne jab Ka’aba mein Namaz adaa farmaai to Aap(ﷺ)ne apne aur Maghribi dewaar ke darmiyaan teen haath ka faasla rakha. Is se ‘Ulama ne yeh istadlaal kiya hai ke sutraah ki musaafat teen haath hai aur qat’a ke ma’ani baatil hone ke hain jab ke jamhoor kehte hain ke is se muraad yeh hai ke kamal khatam ho jaata hai jab ke sahih baat yeh hai ke is se Namaz baatil ho jaati hai aur agar aadmi Farz Namaz adaa kar raha ho to us se dohraana laazim ho ga.

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents