351. Masbooq (Jis se ba jama’at Namaz mukammal ya us ka kuch hissa nikal chuka ho) ki Imaamat ka hukm
Masbooq (Jis se ba jama’at Namaz mukammal ya us ka kuch hissa nikal chuka ho) ki Imaamat ka hukm
[Sawaal]
Ek shakhs Imaam aur Namaaziyon ke salaam pherne ke ba’d Masjid mein daakhil hoa aur us ne ek masbooq shakhs ko dekha jo apni baaqi Namaz poori kar raha hai to yeh us ke ek jaanib khada ho gaya taa ke masbooq ko Imaam bana kar jama’at ka sawaab haasil kar sake’ To Kia yeh us ke liye jaaiz ho ga ya masbooq us ka Imaam nahi ban sakta? Kia us shakhs ne masbooq ke saath jo Namaz adaa ki woh sahih ho gi?
[Jawab]
Jab masbooq Masjid mein daakhil ho aur log Namaz padh chuke hon aur doosra masbooq apni baaqi Namaz adaa kar raha ho to us ke liye jaaiz hai ke masbooq ke daaein jaanib khada ho kar jama’at ka sawaab haasil karne ki niyyat se Namaz adaa kare Masbooq ko Imaamat ki niyyat kar leni chaahiye. ‘Ulama ke sahih qawl ke mutaabiq is mein koi harj nahi. Isi tarah agar koi shakhs tanha Namaz padh raha ho to yeh us ke saath shaamil ho kar Namaz adaa kar sakta hai us ke daaein jaanib khada ho jaae aur jab masbooq salaam pher de ya woh shakhs jo tanha Namaz padh raha tha, Salaam pher de to yeh khada ho kar apni baaqi Namaz ko poora kar le. In dalaail ke ‘umoom se is ka jawaaz saabit hota hai jo Namaz ba jama’at adaa karne ki fazeelat par dalaalat karte hain aur jaisa ke Nabi (ﷺ) se saabit hai ke jab Aap(ﷺ) ne ek aise shakhs ko dekha jo Namaz khatam hone ke ba’d Masjid mein daakhil hoa to Aap (ﷺ) ne farmaaya
“Koi hai jo is par sadqa kare aur is ke saath Namaz padhe (yaane us se Jama’at se Namaz padha de).”
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…