Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

353. Munfarid ki iqtida

Munfarid ki iqtida

[Sawaal]

Mein akela Farz Namaz adaa kar raha tha ke ek shakhs aaya aur us ne meri iqtida mein Namaz shur’u kar di to Namaz mein munfarid se Imaam ki niyyat ki tabdeeli ka Kia hukm hai?

[Jawab]

Us soorat mein jo tum ne zikr ki hai, Dauraan-e-Namaz munfarid se Imaam banne ki niyyat ki tabdeeli jaaiz hai jaisa ke sahiheen mein Hazrat ‘Abdullah-Bin-‘Abbas رضی الله عنه se marwi Hadees se saabit hai ke:

بِتُ عِنْدَ خَالَتِي مَيْمُونَةَ فَقَامَ رَسُولُ اللهِ ، يُصَلِّي مِنَ اللَّيْلِ، فَقُمْتُ عَنْ يَسَارِهِ فَجَذَبَنِي وَجَعَلَنِي عَنْ يَمِينِهِ

(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Azaan, Baab izaa qaam Al-Rajal ‘an yasaar Al-Imaam fahaulahu Al-Imaam . . . , H: 698)

“Ek raat mera qayaam apni khaala Hazrat Memoonaرضي الله عنها ke ghar tha to Rasoolullah (ﷺ) ne raat ko uth kar jab Namaz shur’u farmaai to mein aakar Aap (ﷺ) ki baaein jaanib khada ho gaya to Aap (ﷺ) ne mujhe kaan ki lau se pakda aur apni daaein jaanib khada kar diya.” Bawaqt-e-zaroorat muqtadi ka Imaam banna aur Imaam ka muqtadi banna jaaiz hai.

__Fatwa-e-committee__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents