356. Namaz ke ba’d hamesha musaafha karna
Namaz ke ba’d hamesha musaafha karna
[Sawaal]
Namaz ke ba’d musaafha karne ke baare mein hukm-e-shariy’at Kia hai? Kia yeh bidd’at hai ya Sunnat , Baraah-e-Karaam daleel ke saath bayaan farmaaiye.
[Jawab]
Farz Namaazon ke ba’d hamesha musaafha karne ki hamein koi asal ma’loom nahi hai. lehaaza yeh ‘amal bidd’at hai aur Rasoolullah (ﷺ) se yeh saabit hai ke Aap (ﷺ) ne Irshaad farmaaya ke:
مَنْ عَمِلَ عَمَلاً لَيْسَ عَلَيْهِ أَمْرُنَا فَهُوَ رَدُّ
(Sahih Muslim, Kitaab Al-Aqziyat, Baab Naqad Al-Ahkaam Al-Baatila . . . , H: 1718)
“Jo koi aisa ‘amal kare jiske baare mein hamara amar nahi hai to woh (‘Amal) mardood hai.”
Aur ek doosri riwaayat mein hai ke:
مَنْ أَحْدَثَ فِي أَمْرِنَا هَذَا مَا لَيْسَ مِنْهُ فَهُوَ رَدُّ
(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Salaah, Baab izaa istalahuwa ‘Ali salaah . . ., H: 2697-o-Sahih Muslim, Kitaab Al-Aqziyat, Baab Naqad Al-Ahkaam, H: 1718)
“Jis shakhs ne hamare is amar (Deen) mein koi aisi nai baat ijaad ki jo us mein se na ho to woh mardood hai.”
__Fatwa-e-committee__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…