Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

366. Namaz mein dhaata baandhne aur tek lagaane ka hukm

Namaz mein dhaata baandhne aur tek lagaane ka hukm

[Sawaal]

Kia Namaz mein dhaata (Munh par kapda baandhna) jaaiz hai? Aur Kia dewaar ya sutoon waghaira ke saath tek laga kar Namaz adaa karna jaaiz hai?

[Jawab]

Namaz mein kisi majboori ke baghair dhaata baandhna jaaiz nahi, Isi tarah Farz Namaz mein dewaar ya sutoon waghaira ke saath tek lagaana bhi jaaiz nahi kyunke saahib-e-istita’at par Farz hai ke woh sahaare ke baghair seedha khada ho. Haan albatta Nafil Namaz mein koi harj nahi kyunke us se beth kar adaa karna bhi jaaiz hai lekin beth kar adaa karne ke muqaabile mein tek laga kar aur khade ho kar adaa karna afzal hai.

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents