Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

369. Jab Imaam aise masbooq ko apni jagah khada karde jis ki do raka’at reh gai hon

Jab Imaam aise masbooq ko apni jagah khada karde jis ki do raka’at reh gai hon

[Sawaal]

Jab Imaam Namaz ki chawthi raka’at mein be Wuzu ho jaae aur woh kisi aise masbooq shakhs ko apna naaib bana de jo teesri raka’at mein Namaz mein shaamil hoa tha to un logon ke liye Kia hukm ho ga. Jo pehle Imaam ke saath pehli ya doosri raka’at mein shaamil hue the? Kia un ke liye Imaam-e-saani se qabl salaam pherna jaaiz hai? Ya woh Imaam-e-saani ki iqtida karte hue chaar se ziyaada raka’atein bhi padh sakte hain? Ya woh beth kar intezaar karen hatta ke Imaam ki chaaron raka’at poori ho jaaein aur woh salaam phere to yeh bhi salaam pher dein? In halaat mein sab logon ki Namaz ka Kia hukm ho ga?

[Jawab]

Agar un Namaaziyon ka amar waqi’a Isi tarah ho jis tarah sawaal mein bayaan kiya gaya hai, To jin logon ne Imaam-e-Awwal ke saath pehli ya doosri raka’at mein shirkat ki woh apni Namaz ki takmeel ke ba’d Imaam-e-saani ke saath ziyaada Namaz nahi padhen ge balkeh apni jagah bethe rahen ge kyunke unhon ne chaar raka’at padh lin aur apna Farz poora kar diya hai lekin woh Imaam se pehle salaam nahi pher sakte kyunke Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaaya hai ke:

إِنَّمَا جُعِلَ الْإِمَامُ لِيُؤْتَمَّ

(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Azaan, Baab iqaamat Al-Saf min tamaam Al-Salaat, H: 722, 734,-o- Sahih Muslim, Kitaab Al-Salaat, Baab Al-Tamaam Al-Mamoom, H: 414)

“Imaam is liye banaaya jaata hai taakeh us ki iqtida ki jaae.”

__Fatwa-e-committee__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents