Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

375. Boonda Baandi ki wajah se Maghrib-o-‘Isha ki Namaazon ko jam’a karna

Boonda Baandi ki wajah se Maghrib-o-‘Isha ki Namaazon ko jam’a karna

[Sawaal]

Maghrib ki Namaz se faarigh hone ke ba’d halki halki barish ki wajah se achaanak ‘Isha ki Namaz ke liye iqaamat keh di gai to Namaz se faarigh hone ke ba’d main ne is Namaz ke baare mein jab Imaam se poocha to unhon ne bataaya ke barish ke sabab asaani ke Khaatir Namaazon ko jam’a kiya gaya hai aur unhon ne bataaya ke yeh Namaz sahih hai halaankeh barish bohat halki thi aur muqtadiyon ke liye bhi Namaazon ke jam’a karne ka koi e’laan nahi kiya gaya to Kia yeh Namaz sahih hai?

[Jawab]

Shadeed aur mousla dhaar barish ki wajah se Jis se kapde bheeg jaaein Do Namaazon ko jam’a kar ke adaa karna jaaiz hai khusoosan jab raat ka waqt ho, raaste tareek hon, Sardi shadeed ho, Logon ko dushwaari ho aur saaz-o-samaan ki kami ke baa’is woh sardi ki shiddat se bachaao ka bandobast na kar sakte hon aur raasta mein keechad waghaira ki wajah se paaon phisalne ka bhi andesha ho to un halaat mein Maghrib aur ‘Isha ki Namaazon ko jam’a kar ke padha jaa sakta hai lekin jab raaste kushaadah hon aur saari raat barqi qumqumon se jagmagaate hon, Raaston mein mitti aur keechad bhi na ho na koi nijaasat aur ghilaazat waghaira ho, Log taqaatwar bhi hon ya un ke paas gaadiyan bhi hon jin ki wajah se taweel faaslon ko bhi baghair mushaqqat ke baasaani tey kiye jaa sakte ho, Sardi se bachaao ke liye garam kapde bhi wafar miqdaar mein hon aur barish bhi halki ho jis ke ‘umooman thodi der ba’d band hone ka qawi imkaan ho to in halaat mein Namaazon ko jam’a karna jaaiz nahi ho ga kyunke Namaazon ke auqaat mutayy’an hain, Jin mein kisi daleel ya raajeh ‘aariza ke baghair tabdeeli nahi ki jaa sakti. Jab Namaazon ko jam’a kar ke adaa karna jaaiz ho to Imaam ko chaahiye ke muqtadiyon ko bhi bata de taaham agar na bataae to bhi koi harj nahi. Wallahu A’lam.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents