Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

377. Namaz mein dua’a

Namaz mein dua’a

[Sawaal]

Kia Namazi ke liye yeh jaaiz hai ke woh Farz Namaazon mein arkaan poore karne ke ba’d dua’a maange maslan sajdon mein “سبحان ربی الاعلیٰ” padhne ke ba’d ((اللهُمَّ اغْفِرْ لِي وَارْحَمنن)) jaisi dua’a padh le? Umeed hai rehnumaai farmaaein ge taakeh mustafeed ho sakoon Aur hadiya-e-salaam qubool farmaaiye.

[Jawab]

Momin ke liye yeh jaaiz hai ke woh Namaz mein dua’a ke maqaam par dua’a kare Namaz khuwah Farz ho ya Nafil aur Namaz mein dua’a ka maqaam-e-sajdah Do sajdon ke darmiyaan , tashahhud, aur Rasoolullah (ﷺ) ki Zaat-e-Giraami par Durood-o-salaam ke ba’d Namaz ka aakhri hissa hai. Hadees se saabit hai ke Nabi Kareem (ﷺ) hum dono sajdon ke darmiyaan dua’a karte aur Allah Ta’ala se maghfirat talab farmaate the. Yeh bhi saabit hai ke aap dono sajdon ke darmiyaan yeh dua’a padha karte the:

اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي وَارْحَمْنِي وَاهْدِنِي وَاجْبُرْنِي وَارْزُقْنِي وَعَافِنِي

(Sunan Abi Dawood, Kitaab Al-Salaat, Baab Al-dua’a bain Al-Sajdateen, H: 850, -O-Sunan Al-Tirmizi, Kitaab Al-Salaat, Baab maa yaqaul Al-Rajal fi ruku’-o-sajoodah, H: 874 waqal Al-Haakim-o-Al-Zehbi-o-Al-Nawwi: Haza Hadees sahih)

“Ae Allah! Tu meri maghfirat farma mujh par rehm farma mujhe hidaayat de meri bigdi bana de mujhe rizq ‘ataa farma aur mujhe ‘aafiyat ‘ataa farma.”

Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaaya:

أَمَّا الرُّكُوعُ فَعَظْمُوا فِيْهِ الرَّبَّ وَأَمَّا السُّجُودُ فَاجْتَهِدُوا فِي الدُّعَاءِ فَقَمِنْ أَنْ يُسْتَجَابَ لكم

(Sahih Muslim, Kitaab Al-Salaat, Baab Al-Nahi ‘an qiraat Al-Qur’an fi Al-Ruku’-o-Al-Sajood, H: 479)

“Ruku’ mein Allah Ta’ala ki ta’zeem bayaan karo aur sajdah mein khoob koshish se dua’a karo, Umeed hai ke tumhari dua’a qubool ki jaae gi.”

Aur Hazrat Abu Huraira رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ se riwaayat hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaaya:

أَقْرَبُ مَا يَكُونُ الْعَبْدُ مِنْ رَّبِّهِ وَهُوَ سَاجِدٌ فَأَكْثِرُوا الدُّعَاءَ

(Sahih Muslim, Kitaab Al-Salaat, Baab maa yaqaul fi Al-Ruku’-o-Al-Sajood, H: 482)

“Bandah apne Rabb ke sab se ziyaada qareeb us waqt hota hai jab woh sajdah kar raha hota hai lehaaza sajdah mein kasrat se dua’a karo.”

(Sahiheen mein Hazrat ‘Abdullah-Bin-Mas’ood رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُse riwaayat hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne jab unhein tashahhud sikhaaya to farmaaya:)

ثُمَّ يَتَخَيَّرُ مِنَ الْمَسْأَلَةِ ما شاء

(Sahih Muslim, Kitaab Al-Salaat, Baab Al-tashahhud fi Al-Salaat, H: 402)

“Us ke ba’d Namazi jo chaahe apne Rabb se dua’a kare.”

Aur ek riwaayat mein alfaaz yeh hain ke:

ثُمَّ لِيَتَخَبَّرْ مِنَ الدُّعَاءِ أَعْجَبَهُ إِلَيْهِ فَيَدْعُوا

(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Azaan, Baab maa Yatakhair min al-dua’a ba’ad Al-tashahhud-o-laisa bi waajib, H: 835)

“Phir us dua’a ko muntakhib kare jo us se sab se ziyaada pasand ho aur us ke saath dua’a kare.”

Is mafhoom ki Ahaadees bohat hain jo is baat par dalaalat karti hain ke in maqaamaat mein musalmaan jo dua’a karna chaahe Us ki ijaazat hai khuwaah dua’a ka ta’lluq aakhirat se ho ya Deenwi musaalah se basharteke dua’a ka ta’lluq kisi gunaah ya qat’a-e-rehmi se na ho aur afzal yeh hai ke un dua’aon ko kasrat ke saath maanga jaae jo Nabi (ﷺ) se manqool hain.

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents