Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

385. Namaz-e-Subah ke waqt sote rehna

Namaz-e-Subah ke waqt sote rehna

[Sawaal]

Jab insaan subah ki Namaz ke waqt soya rahe to Kia Allah Ta’ala us se din ki baaqi Namaazon ka ajar-o-sawaab de ga ya nahi? Aur agar woh bedaar hone ke ba’d subah ki Namaz adaa kare to Kia us ki yeh Namaz qubool ho gi ya nahi?

[Jawab]

Hadees se saabit hai ke Rasoolullah (ﷺ) ne farmaaya:

مَنْ نَامَ عَنِ الصَّلَاةِ أَوْ نَسِيَهَا فَلْيُصَلِّهَا إِذَا ذَكَرَهَا ، لا كَفَّارَةً لَهَا، إِلَّا ذَلِكَ

(Sahih Bukhari, Kitaab Mawaqiyat Al-Salaat, Baab min nasi salaat . . . , H: 597,-o-Sahih Muslim, Kitaab Al-Salaat, Baab Qaza Al-Salaat Al-Faitat . . . , Hadees: 684)

“Jo shakhs Namaz se soya rahe ya bhool jaae to woh usi waqt padh le jab us se yaad aae’ Us ka sirf yehi kaffaara hai.”

Yeh hukm ‘aam hai jo subah ki aur deegar tamaam auqaat ki Namaazon ko shaamil hai, lehaaza agar subah ke waqt soya rehne waala shakhs ba’d ki Namaazon ki hifaazat kare aur unhein bar waqt adaa kare to pehli Namaz ke waqt soya rehna us ke liye nuqsaan daah na ho ga balkeh us ke ‘amal aur Namaz mein mehnat-o-koshish ke baqadar us se mukammal ajar-o-sawaab mile ga. Lekin us se us maamla mein susti se kaam nahi lena chaahiye balkeh waajib yeh hai ke woh kisi aise aadmi ki duty lagaae jo us se barwaqt jaga de ya apne sirhaane alarm laga kar time piece rakh le taake woh bar waqt bedaar ho jaae aur Namaz-e-subah mein kotaahi aur susti se kaam na le. Aur agar un tamaam asbaab ko iste’maal karne ke bawajood us par neend ka ghalba ho to us se koi gunaah na ho ga albatta bedaar hone ke ba’d us se foran Namaz adaa kar leni chaahiye.

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents