Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

397. Namaz mein waswason ka ‘ilaaj

Namaz mein waswason ka ‘ilaaj

[Sawaal]

Mein ek ‘Aurat hoon Allah Ta’ala jin ‘ibaadaat ko farz kiya hai un ko baja laati hoon albatta mein Namaz mein bohat bhool jaati hoon. Namaz shur’u karti hoon to din bhar ke halaat-o-waqi’aat ka Namaz mein khayaal aana shur’u ho jaata hai aur khayaal Namaz shur’u karte hi aana shur’u ho jaata hai aur us waqt baaqi rehta hai jab tak mein qiraat-e-jahri shur’u nahi kar deti. Baraah-e-Karaam rehnumaai farmaaein ke in waswason se kese nijaat paai jaae?

[Jawab]

Yeh ma’amla jo tumhein dar pesh hai, Yeh bohat se Namaaziyon ko dar pesh hai aur yeh is liye ke shaitaan insaan ki Namaz mein waswason ke darwaaze ko khol deta hai aur basa auqaat naubat yahan tak pohanch jaati hai ke insaan ko yeh ma’loom hi nahi hota ke woh apni Namaz mein Kia padh raha aur Kia keh raha hai? Is ka ‘ilaaj wahi hai jis ki taraf Nabi (ﷺ)ne rehnumaai farmaai hai ke insaan apni baaein taraf teen baar thooke aur kahe (اعوذ بالله من الشیطن الرجیم) aisa karne se Insha Allah waswase door ho jaaein ge, Isi tarah aadmi ko chaahiye ke woh Namaz shur’u karte waqt yeh tasawwur kare ke woh apne Rabb Ta’ala ki baargaah-e-qadas mein haazir aur us Zaat-e-Giraami se hum kalaam hai aur takbeer-o-ta’zeem Us ke paak kalaam ki tilaawat aur Namaz ke maqaamaat dua’a mein dua’a ke saath taqarrub-e-Ilaahi ke husool ki koshish kare. Insaan mein jab yeh sha’oor bedaar ho to woh yaqeenan apne Rabb ki baargaah-e-qadas mein khush’oo-o-khuz’oo se haazir ho ga. Us ki ta’zeem baja laae ga. Us ke paas jo khair-o-bhalaai hai us se mohabbat kare ga aur faraaiz ke adaa karne mein kotaahi ki soorat mein us ke ‘azaab se khaaif ho ga.

__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents