Search
414. Darwaaza kholne ke liye Namaz tod dena
Darwaaza kholne ke liye Namaz tod dena
[Sawaal]
Kia darwaaza kholne ya telephone sunne ke liye Namaz todna jaaiz hai?
[Jawab]
Aap ke liye laazim hai ke Namaz Masjid mein ba jama’at adaa karen, Agar aap kisi ‘uzr ki wajah se late ho gae aur phir aap ne Namaz ko shur’u kar diya to kisi dastak dene waale ya telephone ki ghanti bajne ki wajah se Namaz todna jaaiz nahi hai lekin jab dastak dene waala baar baar dastak de de kar pareshaan kar de to izteraab aur pareshaani se bachne ke liye Namaz todna jaaiz hai basharteke aap haalat-e-Namaz hi mein darwaaza na khol sakte hon aur na aap ke siwa koi aur darwaaza kholne waala maujood ho.
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…