Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

423. Khaali jagah pur karne ke liye Namaz mein chalna

Khaali jagah pur karne ke liye Namaz mein chalna

[Sawaal]

Main ne apne saamne pehli sif mein khaali jagah dekhi to Kia mere liye yeh jaaiz hai ke mein aage badh kar us jagah ko pur kar doon jab ke mein khud bhi takbeer-e-Tehreema keh chuka hoon?

[Jawab]

Khaali jagah ko pur karne ke liye agle sif ki taraf badhna jaaiz hai kyunke yeh sif milaane ke qabeel se hai aur jo sif ko milaaye us se Allah Ta’ala apne saath mila leta hai, Khuwaah us ke liye ek ya do qadam uthaana paden. Yeh qaabil-e-ma’afi ma’mooli harkat hai. Wallahu A’lam

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents