427. K apde ko takhne se neeche latkaana gunaah hai
K apde ko takhne se neeche latkaana gunaah hai
[Sawaal]
Us kapde mein Namaz ka Kia hukm hai jis ne takhnon ko dhaanp rakha ho? Kia aise shakhs ke peeche Namaz jaaiz hai khusoosan jab ke woh us se mumaani’at ki Ahaadees ko jaanta bhi ho? rehnumaai farmaaiye. Allah Ta’ala aap ko jazaa-e-khair ‘ataa farmaae!
[Jawab]
Takhno se kapda neeche latkaane waale ki Namaz sahih hai lekin woh gunaah gaar zaroor hai lehaaza waajib hai ke us se naseehat ki jaae aur us se ijtinaab ki talqeen ki jaae, Jis se Allah Ta’ala ne Haraam qaraar diya hai.Musalmaan ke liye waajib hai ke us ka libaas takhnon se neeche na ho kyunke Nabi Kareem (ﷺ) ka Irshaad hai ke:
مَا أَسْفَلَ مِنَ الْكَعْبَيْنِ مِنَ الإِزارِ فَهُوَ فِي النَّارِ
(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Libaas, Baab maa Asfal min Al-Ka’abeen fahuwa fi Al-Naar, H: 5787)
“Izaar ka jo hissa takhnon se neeche ho woh jahannum ki aag mein ho ga.”
Libaas ki tamaam qismon qamees, Shalwaar aur paint waghaira ka wahi hukm hai jo izaar ka hai. Sahih Hadees mein hai ke Rasoolullah (ﷺ) ne farmaaya:
ثَلَاثَةٌ لا يُكَلِّمُهُمُ اللهُ وَلَا يَنْظُرُ إِلَيْهِمْ يَوْمَ الْقِيَامَةِ وَلَا يُزَكِّيْهِمْ وَلَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ: الْمُسْبِلُ وَالْمَنَّانُ فِيْمَا أَعْطَى وَالْمُنَفَقُ سِلْعَتَهُ بِالْحِلْفِ الْكَاذِب
(Sahih Muslim, Kitaab Al-Imaan, Baab Bayaan ghalaz Tehreem Isbaal Al-Izaar-o-al-min baal’atiyat, H: 106)
“Teen qism ke aadmiyon se Allah Ta’ala roz-e-Qayaamat kalaam farmaae ga na un ki taraf dekhe ga aur na unhein paak kare ga aur un ke liye dardnaak ‘azaab ho ga:
(1) Kapde ko (Takhnon se neeche latkaane waala,
(2) Sadqa de kar ehsaan jatlaane waala aur
(3) Apna saude jo jhooti qasam khaa kar bechne waala.”
Yeh hukm mardon ke haqq mein hai. Aur ‘Aurton ke liye yeh waajib hai ke jab woh ghar se baahar bazaaron ki taraf niklein to juraabon ya kushaadah libaas ke saath apne paaon ko dhaapein Isi tarah ghar mein agar koi ajnabi maslan us ke shohar ka bhai waghaira ho to bhi paaon ko dhaanpna waajib hai. Wabillahi Al-Toufeeq.
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…