435. Namaz-e-Fajr mein qunoot ka hukm
Namaz-e-Fajr mein qunoot ka hukm
[Sawaal]
Mein ek musalmaan ladki hoon aur yahaan Sa’udiya mein taqreeban chey saal se reh rahi hoon. Hum apne mulk mein Namaz-e-Fajr mein dua’a-e-qunoot padhte hain lekin yahaan main ne dekha hai ke Namaz-e-Fajr mein dua’a-e-qunoot nahi padhte. Mera sawaal yeh hai ke Namaz-e-Fajr mein qunoot padhne ke baare mein Kia hukm hai?
[Jawab]
Shaafi’iya ka mazhab yeh hai ke Namaz-e-Fajr ki doosri raka’at mein Ruko’ se sar utha kar hamesha dua’a-e-qunoot padhna mustahab hai aur un ka istadlaal is riwaayat se hai ke:
مَا زَالَ يَقْتُتُ فِي الصُّبْحِ حَتَّى فَارَقَ الدُّنْيَا
(Masnad Ahmad, 3 162)
“Nabi Kareem (ﷺ) Namaz-e-subah mein hamesha qunoot farmaate rahe hatta ke duniya se tashreef le gae.”
Aur jab qunoot mazkoor ki koi dua’a manqool na thi to unhon ne Hadees Hazrat Hassanرضي الله عنه mein Qunoot-e-Witr ke baare mein marwi dua’a:
اللَّهُمَّ اهْدِنِي فِيمَنْ هَدَيْتَ، وَعَافِنِي فِيمَنْ عَافَيْتَ، وَتَوَلَّنِي فِيمَنْ تَوَلَّيْتَ، وَبَارِكْ لِي فِيْمَا أَعْطَيْتَ، وَقِنِي شَرَّمَا قَضَيْتَ إِنَّكَ تَقْضِي وَلَا يُقْضَى عَلَيْكَ، وَإِنَّهُ لَا يَذِلُّ مَنْ والَيْتَ، وَلا يَعِزُّ مَنْ عَادَيْتَ، تَبَارَكْتَ رَبَّنَا وَتَعَالَيْتَ
(Abu Dawood, Abwaab Al-Witr, Baab Al-Qunoot fi Al-Witr, H: 1425, 1426, Sunan Tirmizi, Kitaab Al-Witr, Baab maa jaa fi Al-Qunoot fi Al-Witr, H: 464, Masnad Ahmad (199/1, 200)
ko iste’maal karna shur’u kar diya.
Imaam Ahmad aur kayi deegar Aimmah ka mazhab yeh hai ke Namaz-e-Fajr mein qunoot mashr’oo nahi hai illa yeh ke musalmaan kisi iftaad-e-(Museebat) mein mubtala hon maslan dushman Khauf ya kisi ‘aam wabai marz ka saamna ho to phir dua’a-e-qunoot naazila ki jaa sakti hai jaisa ke Hadees mein hai ke Nabi (ﷺ) ne ek maah tak qunoot farmaaya. Aap un qabaail-e-‘Arab ke liye bad dua’a karte the jinhno ne ba’az Sahaaba Karaam رضی الله عنھم ko shaheed kar diya tha aur phir ek maah ke ba’d aap ne us qunoot ko tark farma diya tha. (1)
(1)Sahih Bukhari’ Kitaab Al-Witr’ Baab Al-Qunoor qabl Al-Ruko’-o-Ba’adahu, H: 1002-o-Sahih Muslim’ Kitaab Al-Masaajid Baab Istahbaab Al-Qunoot fi Jam’i Al-Salwaat—— J: 677
Un Aimmah -e-karaam ka kehna hai ke jis qunoot ko aap ne hamesha jaari rakha’ Us se muraad taul-e-qayaam hai jis ka Irshaad-e-Baari Ta’ala:
وَقُوۡمُوۡا لِلّٰهِ قٰنِتِيۡنَ
(Al-Baqrah 2 238)
“Aur Allah ke aage adab se khade raha karo” .
Mein zikr hai, Baharhaal jo Aimmah -e-Shafi’iyah ke itteb’aa mein qunoot kare us ka inkaar nahi kiya jaae ga lekin sahih baat yeh hai ke yeh mashr’oo nahi hai aur na yeh saabit hai ke Nabi(ﷺ)ne us par hamesha ‘amal kiya ho lehaaza bazaahir yoon ma’loom hota hai ke bilaa sabab ho to makrooh hai. Wallahu A’lam
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…