437. Yeh baat sahi nahi
Yeh baat sahi nahi
[Sawaal]
Main ne bohat se logon ko yeh kehte hue suna hai ke agar chaalees saal ya us se ziyaada ‘Umar mein peshaani par sajdah karne ka nishaan na ho to is ka ma’ani yeh hai ke us insaan ka sajdah sahi nahi ya naaqis hai. Yeh baat kahan tak sahi hai?
[Jawab]
Yeh baat sahi nahi hai balkeh sahi yeh hai ke Allah Ta’ala apne bande ke sajdah ko zaroor sharaf-e-qubooliyat se nawaazta hai. Jab bandah ikhlaas ke saath apne Rabb ki baargaah mein sajdah rez ho, Khuwaah chaalees saal ki ‘Umar se pehle ya ba’d mein us ki peshaani par sajdah ki ‘alaamaat numoodaar ho ya na ho. Yeh ‘alaamaat aaj kal ghaaliban logon ki peshaaniyon par is liye bhi numaayana nahi hoti ke aksar log naram qaaleenon aur musalon par Namaz adaa karte hain aur phir yeh zaroori to nahi ke peshaani par sajdah ki ‘alamaat numaayaan ho aur us ke numaayaan na hone se sajdah baatil nahi hota.
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…