Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

439. ‘Isha ki Namaz mein taakheer

‘Isha ki Namaz mein taakheer

[Sawaal]

‘Isha ki Namaz ko aakhir waqt tak mu’akkhar kar ke adaa karne ke baare mein Kia hukm hai?

[Jawab]

Namaz-e-‘Isha ke baare mein afzal yeh hai ke us se aakhir waqt tak mu’akkhar kar ke adaa kiya jaae lekin mard agar us se mu’akkhar kar ke adaa kare ga to us ki Jama’at Faut ho jaae gi lehaaza yeh jaaiz nahi ke woh Namaz ko mu’akkhar kare aur us ki Jama’at Faut ho jaae, Haan albatta ‘Aurtein jo gharon mein jis qadar Namaz-e-‘Ishaa taakheer se padhen un ke liye afzal hai lekin aadhi raat se ziyaada mu’akkhar na karen.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents