Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

442. Masbooq’ Imaam ke saath jo paae woh us ki Namaz ka ibtidaai hissa hai

Masbooq’ Imaam ke saath jo paae woh us ki Namaz ka ibtidaai hissa hai

[Sawaal]

Jab koi aadmi Imaam ke saath chaar raka’aton waali Namaz mein us waqt shaamil ho ke us ki do raka’at Faut ho gai hon to un do aakhri raka’at ke baare mein woh Kia niyyat kare ke yeh us ki pehli do raka’at hain ya aakhri do raka’at hain taake pehli do raka’at ki niyyat se woh Faut shudah raka’at ki qaza de?

[Jawab]

(Sahih baat yeh hai ke aadmi jama’at ke saath jo Namaz paata hai, Woh us ki Namaz ka ibtidaai hissa hoti hai aur jis se woh ba’d mein adaa karta hai, Woh us ki Namaz ka aakhri hissa hai. lehaaza jab koi shakhs Imaam ke saath Zuhr ki do raka’at paa le aur Imaam ke saath us ke liye Surah Fatiha aur koi doosri soorat padhna mumkin ho, To woh padhe. Aur Imaam jab salaam pher de to yeh khada ho kar apni baaqi Namaz ko mukammal kar le aur un aakhri do raka’at mein sirf Surah Fatiha padhne par iktifa kare kyunke yeh us ki Namaz ka aakhri hissa hai. Aur Rasoolullah (ﷺ) ka Irshaad hai ke:)

مَا أَدْرَكْتُمْ فَصَلُّوْا وَمَا فَاتَكُمْ فَاتَمُوا

“Namaz ka jo hissa paalo us se padh lo aur jo Faut ho jaae us se mukammal kar lo.”

(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Azaan, Baab laa Yas’i illa Al-Salaat-o-liyatiha baalsakeenat-o-Al-Waqaar, H: 636-o-Sahih Muslim, Kitaab Al-Masaajid, Baab Istahbaab atyaan Al-Salaat Bawaqaar-o-Sakeenat, 602-603)

__Shaikh Ibn-e’Usaymeen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents