450. Bawaqt-e-zaroorat Namaz tod dena
Bawaqt-e-zaroorat Namaz tod dena
[Sawaal]
Main ne ghar mein Zuha ki do raka’at padhna shur’u kin. Jab main ne takbeer-e-Tehreema ke ba’d Surah Fatiha bhi padh li to darwaaze par dastak hoi to main ne salaam pher diya aur darwaaza khol diya. Aur wapas aa kar dobaraah takbeer-e-Tehreema keh kar Namaz az sar-e-nau shur’u kar di. To Kia is ka koi kaffaara hai?
[Jawab]
Bawaqt-e-zaroorat Namaz tod dene mein koi harj nahi khuwaah Farz ho ya Nafil jaisa ke is soorat-e-masoolah mein hai kyunke ba’az daf’a dastak dene waala buland awaaz ke saath bulaata hai ya dastak hi zor se deta hai, Jis se iztiraab-o-tashweesh laahaq hoti hai aur aadmi tawajjuh se Namaz nahi padh sakta Haan albatta baghair zaroorat ke Namaz ko nahi todna chaahiye, Lekin agar kisi ne bilaa zaroorat Namaz tod di aur phir dobaraah shur’u kar ke padh li to in sha Allah koi gunaah na ho ga aur nidaamat-o-tawbah ke siwa is ka koi kaffaara bhi nahi hai.
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…