451. Namaz ko baatil karne waali harkaat
Namaz ko baatil karne waali harkaat
[Sawaal]
Kaha jaata hai ke teen harkton se Namaz baatil ho jaati hai,Kia yeh sahi hai ya nahi?
[Jawab]
Namazi ko chaahiye ke woh pur sukoon ho kar Namaz adaa kare, khush’oo-o-khuz’oo ke saath adas kare, apne dono haathon ya dono paaon ya sar ke saath koi fazool harkat na kare aur mukhtasar ‘amal ki wajah se Namaz ko baatil qaraar na de maslan saamne se guzarne waale ko agar mana’ kiya ya bawaqt-e-zaroorat darwaaza waghaira kholna pada to is se us ki Namaz baatil na ho gi lehaaza agar koi aisa kaam kar liya jis ko ‘aadatan-e-kaseer samjha jaata ho maslan bilauzaroorat agar paanch qadam chal liye ya kasrat ke saath koi be faaida kaam kar liya to is se Namaz baatil ho jaae gi. Teen harkaton se had-e-bandi durust nahi balkeh jis ‘amal ko ‘aadatan kaseer samjha jaata ho khuwah woh ‘amdan kiya ho ya ghalti se us se Namaz baatil ho jaae gi.
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…