Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

456. Ghair qibla-e-rukh Namaz

Ghair qibla-e-rukh Namaz

[Sawaal]

Jab ek jama’at ghair qibla-e-rukh Namaz padh le jab ke unhein ma’loom na ho ke qibla kis taraf hai to Kia Namaz ko dohraana pade ga?

[Jawab]

Agar yeh log sehra mein hon aur qibla ki jahat ma’loom karne ke liye koshish karen aur koshish ke ba’d us taraf munh kar ke Namaz padh lein, Jis ke baare mein gumaan ho ke qibla is taraf hai to us Namaz ki qaza nahi ho gi. Aur agar yeh log shehar mein hon to un par qaza ho gi kyunke un ke liye yeh mumkin tha ke gard-o-pesh ke logon se qibla ki simt ke baare mein pooch lete.

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents