Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

461. Ka’aba ke andar Namaz

Ka’aba ke andar Namaz

[Sawaal]

Kia bahar ki nisbat Ka’aba ke andar Namaz padhne ki ziyaada fazeelat hai? Aur insaan ne Ka’aba ke andar jo dekha ho Kia us se logon ke saamne bayaan karna jaaiz hai?

[Jawab]

Ka’aba ke andar Namaz padhna mustahab hai basharteke wahan takleef-o-mushaqqat aur logon ko aiza pohanchaae baghair ba asaani Namaz padhna mumkin ho.Nabi Kareem (ﷺ) ne bhi Ka’aba ke andar daakhil ho kar Namaz adaa farmaai thi jaisa ke “Sahiheen” se saabit hai.Aap se yeh bhi marwi hai ke aap Ka’aba se baahir ghamgeen ho kar nikle aur farmaaya:

( Sahih Bukhari’ Kitaab Al-Salaat’ Baab Qaulihi Ta’ala-o-ittakhazuwa min maqaam-e-Ibrahim Mussali’ H: 397, 468, 504, 505. Sahih Muslim’ Kitaab Al-Hajj, Baab Istahbaab Dakhail Al-Ka’abat lil haaj waghairihi —‘ H: 1329.)

إِنَّنِي أَخْشَى أَنْ أَكُونَ قَدْ شَقَقْتُ عَلَى أُمَّنِي

(Sunan Abi Dawood, Kitaab Al-Munaasik, Baab fi Dakhaul Al-Ka’aba, H: 2029)

“Mujhe khadsha hai ke shaayad main ne Ummat ko mushaqqat mein daal diya hai.”

Aur jab Hazrat Ayesha رضي الله عنها ne aap se Ka’aba ke andar Namaz padhne ke baare mein poocha to aap ne farmaaya:

صَلِّي فِي الْحِجْرِ فَإِنَّهُ مِنَ الْبَيْتِ

“Hajar mein Namaz padh lo Woh bhi Baitullah hi ka hissa hai.”

(Sunan Abi Dawood, Kitaab Al-Manaasik, Baab Al-Salaat fi Al-Hajar, H: 2028,-O-Masnad Ahmad 6 92)

Is se ma’loom hoa ke Baitullah ke andar Namaz padhna mustahab hai, Qurbat aur ita’at hai aur is mein fazeelat bhi ziyaada hai lekin us ke liye muzaahimat nahi honi chaahiye, Na logon ko koi aiza pohanchai jaae aur na aisa iqdaam kiya jaae jis se apne aap ko ya logon ko takleef ho. Is fazeelat ke husool ke liye Hajar mein Namaz padhna bhi kaafi hai ke woh bhi Baitullah ka hissa hai. Baitullah ke naqsh-o-nigaar ya us ki chat aur dewaar ke baare mein logon ke saamne bayaan karne mein bhi koi harj nahi ke main ne wahan yeh dekha hai. Sunnat yeh hai ke Baitullah Shareef ke andar daakhil ho kar aadmi do raka’at Namaz adaa kare, Baitullah ke nuwaah mein takbeerein kahe aur asaani ke saath Allah Ta’ala ki baargah mein jo dua’a karna mumkin ho woh kare khusoosan jaam’e qism ki dua’aon ko padhe, Nabi (ﷺ) Baitullah ke andar daakhil hue the, Aap ne Namaz padhi nuwaah mein takbeerein kahin sur phir dua’a farmaai aur yeh tamaam umoor Nabi Kareem (ﷺ) se saabit hain.

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents