Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

463. Namaz mein haath baandhne ki jagah

Namaz mein haath baandhne ki jagah

[Sawaal]

Kia Namaz mein daaein haath ko baaein par seene par baandhna Nabi Kareem (ﷺ) ka f’el hai ya nahi?

[Jawab]

Sunnat yeh hai ke daaein haath ki hatheli ko baaein haath ke kuch hissa par Kalaai par aur kuch baaein haath par rakh kar seena par baandh liya jaae aur qayaam mein qira’at ke dauraan unhein Isi tarah rakha jaae. Ruko’ se sar uthaane ke ba’d se le kar sajdah mein jaane tak bhi unhein Isi tarah baandha jaae, Yeh Rasoolullah (ﷺ) ki seerat-o-‘amli Sunnat hai.(1)

(1) seene par haath baandhne ki beshumaar Ahadees hain: Sahih Ibn-e-Khuzaima’ 1243′ H: 479. Iss se Imaam Ibn-e-Khuzaima ne sahih kaha hai Masnad Ahmad’ 5226. Hafiz Ibn-e-‘Abdul Bar aur ‘Allama ‘Azeem Abadi ne iss se sahih kaha hai. Nisaa’i’ Kitaab Al-Iftitah’ Baab fi Al-Imaam uzaraami Al-Rajal—‘ H: 490. Iss se Ibn-e-Habaan aur Ibn-e-Khuzaima ne sahih kaha hai. is Hadees ko Imaam Abu Dawood رحمة الله ne Abu Sa’eed Khadri رحمة الله se sahih sanad ke saath riwaayat kiya hai.

(وصلی اللہ علی نبینا محمد و آله وصحبه وسلم)

Fatwa-e-committee

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents