464. Namazi ke sutraah ki hudood
Namazi ke sutraah ki hudood
[Sawaal]
Kia Masjidon mein maujood qaaleenon aur dariyon waghaira ke kinaaron ko Namazi ke liye sutraah qaraar diya jaa sakta hai?
[Jawab]
Qaleenon aur dariyon waghaira ke kinaaron ko Namazi ke liye sutraah qaraar nahi diya jaa sakta kyunke Sunnat yeh hai ke sutraah palaan ki keeli (Pichli lakdi) ke maanind koi khadi cheez ho ya us se koi oonchi cheez maslan dewaar , Sutoon aur kursi waghaira bhi sutraah ho sakti hai. Agar is tarah ki koi cheez paas maujood na ho to Imaam ya munfarid hone ki soorat mein apne saamne ‘asaa waghaira ko gaad le. Muqtadi ke liye Imaam ka sutraah hi kaafi ho ga. Aur agar kisi aisi jagah Namaz padh raha ho jahan sutraah ke liye koi bhi cheez maujood na ho to phir zameen par ek lakeer khench le.
Is masla mein asal Nabi (ﷺ) ka yeh Irshaad-e-Giraami hai ke:
إِذَا صَلَّى أَحَدُكُمْ فَلْيُصَلُ إِلَى سُتْرَةٍ وَلْيَدْنُ مِنْهَا
(Sunan Abi Dawood, Kitaab Al-Salaat, Baab maa yamaru Al-Mussali an Yadra ‘an Al-Mamar bain yadeehi, H: 698)
“Jab tum mein se koi Namaz padhe to us se chaahiye ke sutraah ki taraf Namaz padhe aur sutraah se qareeb ho kar khada ho.”
Aap ka doosra Irshaad yeh hai ke:
يَقْطَعُ صَلَاةَ الْمَرْءِ الْمُسْلِمِ إِذَا لَمْ يَكُنْ بَيْنَ يَدَيْهِ مِثْلُ مُؤْخِرَةِ الرَّحْلِ : الْمَرْأَةُ وَالْحِمَارُ وَالْكَلْبُ الْأَسْوَدُ
(Sahih Muslim, Kitaab Al-Salaat, Baab Qadar maa yastar Al-Mussali, H: 510, -O-Sunan Abi Dawood, Kitaab Al-Salaat, Baab maa Yaqta’a Al-Salaat, H: 702, -O-Masnad Ahmad, 1/247, 347)
‘” ‘Aurat’ Gadhe aur kaale kutte (Namazi ke) aage se guzarne se musalmaan aadmi ki Namaz toot jaati hai, Jab us ke saamne palaan ki keli ki tarah (sutraah) na ho.”
Isi tarah aap ka ek aur Irshaad-e-Giraami yeh bhi hai ke:
إِذَا صَلَّى أَحَدُكُمْ فَلْيَجْعَلْ تِلْقَاءَ وَجْهِهِ شَيْئًا، فَإِنْ لَمْ يَجِدْ فَلْيَنْصِبْ عَصَا، فَإِنْ لَمْ يَجِدْ فَلْيَخُطَّ خَطَّا ثُمَّ لَا يَضُرُّهُ مَنْ مَرَّ بَيْنَ يَدَيْهِ
(Sunan Ibn-e-Maaja, Kitaab iqaamat Al-Salwaat, Baab maa yastar Al-Mussali, H: 943,-o-Sahihiha Ibn-e-Habaan)
“Jab tum mein se koi Namaz padhe to woh apne chehre ke saamne koi cheez rakh le Agar koi cheez na paae to ‘asaa gaad le Agar ‘asaa bhi na ho to ek khat khench le to phir aage se guzarne waali koi cheez bhi nuqsaan na de gi.”
Hafiz Ibn-e-Hajar رحمة الله ne “Buloogh Al-Maraam” mein likha hai ke is Hadees ko muztarib qaraar dene waale ki baat durust nahi hai kyunke yeh Hadees-e-Hassan hai.
Wallahu waali Al-Toufeeq
Shaikh Ibn-e-Baaz
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…